*) - Devil of the Sea
door daraj me basa ek samrajya IKASTA jo aaj apni ek bahut hi vikat paristhiti se jujh raha tha.praja jano aur raja ke chehre par chinta aur darr ki lakire thi.mantri -mandal aur baaki sabha sado ke hosh ude the.saamne thi aajtak ki sabse badi musibat jisne sabhi ka jeena muhaal kar rakha tha.chunauti thi uss samasya ko jad se khatm karne ki.
IKASTA ek chhota sa dwip jo chaaro aor samudra se ghira tha.raja aur mantri ki dekh- rekh me khushhaal.machhuwari praja hi thi inke aay ka mukhya shrot.door samrajya se matasya vyapaar ne rajya ko malamaal kiya tha.praja ko samridhi pradaan ki thi.lekin pichhle kuchh samay se iss vyapaar ki gati dhimi ho gayi thi.praja ko garibi ka saamna karna pad raha tha.koi nahi janta tha kya thi iski asli vajah.
Ek din koi vyapaari zakhmi sa dard se karahta taapu par mila.uska upchar kiya gaya,tab pata chala ki Unke vyapaar aur samrajy par nazar lagne ki vajah.koi samudra ka shaitaan tha jo vaha aane wale sabhi vyaapariyo ko bich samudra me hi apna bhojan banata jaa raha tha. Vyaapari jaate magar apne desh vapas naa pahuch paate isliye baaki ke rajyo ne dheere-dheere vyapaar karna band kar diya tha.kisi ne abhi tak uss shaitaan ko thik se nahi dekha tha.par ye spasht tha ki vo jo bhi hai vishaal aur khatarnaak hai.
Iss samachar ne jaise raja ki raato ki neend uda di thi.kaise ladte uss shaitaan se jiske baare me koi kuchh janta bhi nahi tha jo kayi vyaapari jahajo ko safachat kar chuka tha. Ab to samasya aur bhi kathin ho gayi thi.koi rasta sujh nahi raha tha IKASTA ke raja IKASO ko….
Phir ek din mahamantri ne ek prastaav rakha…ki jo bhi uss shaitaan ko maut ke ghaat utarega use milega IKASTA ki rajkumaari SELENA ka hath.vahi hoga IKASTA ka bhaavi raja.SELENA iss baat se raazi thi.koi der naa karte huye raja ne yah ghosna kar di aur intezaar me lag gaye uss bahadur ki jo unki iss chunauti ko swikaar karta.
Rajkumari thi bahut hi sundar lekin phir bhi koi bhi aisa nahi aaya tha jo iss chunauti ko swikaar karta.thak haar kar ek din raja ne khud hi iss musibat se ladne jaane ka faisla kiya.tabhi darbaar me ek nauyuvaan JACK ne pravesh kiya aur daava kiya ki vah uss musibat ko khatm kar aaega.raja ne use dusre din hi nikal jaane ki anumati di.vah uss raat raaj parivaar a mehmaan ban kar ruka.
Usi raat yuvaan ne apni taiyari shuru kar di.tabhi ek aakriti ne uske kaksha me pravesh kiya.ye koi aur nahi rajkumari SELENA hi thi.jack ko dekhte hi uske seene se lag gayi.use uss shaitaan se ladne jaane se manaa karne lagi.vah nahi chahti thi ki uske bachpan ke pyaar ko koi bhi nuksaan pahuche.bachpan me taapu ke pass ek zehrile keede se JACK ne ise bachaya tha.tabhi se inme dosti hui aur inke jawaan hone ke sath hi inki dosti pyaar me badal gayi.rajkumari isse chhup-chhup kar milne aaya karti thi.
Iss ghoshna ko sunne ke baad JACK ruk nahi sakta tha.uske parivaar ne use ab tak rok rakha tha.lekin ab vah aur nahi ruka.raja pad ke liye naa sahi,SELENA ke liye bhi na sahi,use apne rajya ko bachane ke liye ye karya karna hi tha.use yah katai gawara nahi tha ki vah yah soch kar mar jaaye ki vah apna rajya bachane ki koshish kar sakta tha par ki nahi.rajkumari ko aaj garva tha ki usne ek bahadoor aur nekdil ladke se pyaar kiya tha.SELENA ne use apne pyaar ki ek nishaani di..ek locket jo use musibat ke samay me unke pyaar ki yaad dilaega aur uske utsaah aur shakti ko badhaega.SELENA ke mann me darr tha par sath hi JACK ki bahaduri aur pyar par bharosa bhi tha.
Faisle ka din aagaya tha.JACK ko puri taiyari aur hathiyaaro ke sath bheja jaa raha tha.chhori-chhipe chhat se SELENA ne bhi use shubhkamnaaye di.uski aankhein dekh koi bhi bata sakta tha ki vah raat bhr nahi soyi thi.
Thik waisa hi hua tha jaisa JACK ne socha tha.uss shaitaan ke ilake aate hi uske jahaj par hamla kar diya gaya.apne aapko samhalte hue JACK ne use dekha to uski aankhein phati ki phati re gayi.ye shaitaan ek vishaal octopus tha.samanya se kayi guna bada.jise dekh kar hi maut aa jaye .lekin iss bahadur ke kandhe par apne rajya ki suraksha ka daayitva tha.vah kaise lade bina marta.
Maanav samay-samay par apni bahaduri ka parichay deta aaya hai aur asambhav kaam ko sambhav kiya hai.iss samay JACK ko dekhkar aisa hi kaha jaa sakta tha.paani par saans lene ki chamatkari kala jo inn logo ko aashirvaad me mili thi vahi aaj JACK ke kaam aa rahi thi.sharir se khoon ki boonde nikal kar paani me ghulne lagi lekin usne haar nahi maani.
kafi samay ho gaya lekin vah ab tak uss vishaal octopus ko kharonch nahi paucha paaya tha.ab uske sharir ne bhi jawaab dena shuru kar diya tha.himmat jawaab de rahi thi.use uska ant nazar aane laga tha.tabhi uske gale se vah locket chhut usse door jaane laga .JACK ka josh use dekhkar wapas aaya.usne locket ko wapas pakda .octopus ke pass aane ka intzaar kiya aur ek sadhe huye vaar se use buri tarah jakhmi kar diya.bina koi dusra mauka diye JACK ne uss shaitaan ko khatm kar diya.
JACK wapaas aaya raja aur rajkumari samet sabhi use dekhkar khush hogaye.pramaan ke aur par vah octopus ki ek bhuja sath laaya tha.ab vaade ke mutabik uski shaadi rajkumaari se shaadi hogayi.raja aur prajajan apne iss bahadur bhaavi raja se khush the.ab sab kuchh samanya hogaya tha.
Ye pyaar ki hi shakti thi jisne asambhav ko sambhav banaya tha.
=========================
Is entry mey art jitna achchha hai us muqable mey kahani mey nayapan nahi hai, naa hi yahan bhasha shaili prabhavit karne waali hai. Is wajah se rating kaafi kum ho gayi.
Rating - 94/200 Points
Total points after 2 Rounds - 214/400 Points
Judge - Mohit Trendster
No comments:
Post a Comment