Wednesday, July 17, 2013

Round 3 (Match # 6) - Youdhveer Singh vs. Ranjana Sharma


*) - THE HUNT

(Youdhveer Singh) 

 (Pic : Bidholi, Dehradun - Mohit Sharma Trendy Baba)

Place : Joshimath Night 8 PM
Ek Scorpio....tez raftaar garazte baadlo....kadakti Bizliyon ko nazarandaaz karti huyi....bhaagi jaa rahi hai.
Major Vijay Sabarwal....apne 3 Officers ke saath Uttrakhand....mein kuch civilians ke baare mein ek Info paane ke....baad unhe khojne nikle hain.

Major- Ajay..kya lagta hai...Inn pahaado ke beech wo abhi tak bache honge?

Ajay- Sir..baarish jis....tarah se lagataar ho rahi hai...chances bahut kum hain..yeh toh unme se kisi....ladki ka mobile 1 minute ke liye signal pakadne laga...aur humne uski....last loaction trace kar li.

Major- shayad tum nahin jaante. "Sakshi" bhi army mein select huyi hai..posting ka wait kar rahi thi..par yahan fans gayi.. Humari jaanch se pata chala ki lagbhag....ek saal pehle uski....Didi bhi yahan ghoomne aayi thi..jo Airforce mein thi...aur gayab ho gayi.....Sakshi uske baare mein....koi clue pata karne ke liye.... yahan aayi....magar usne apne iss mission ka....jikra naa toh apne ghar par aur naa apne....saathiyon se kiya.......aur kitna raasta bacha hai??

Varun- Bas sir...kuch....doori par 45 degree west ki taraf jungle mein locate huyi thi...humein iss poore radius....par khojbeen karni hogi...par ab itni....raat mein jaana sahi nahin...subah hone par hi jaana theek hai.

Major- yahan paas mein....koi Rukne ki jagah...dikhe toh ruk jaana.

Achanak kadakti....huyi jordaar aawaaz....upar pahaad se hoti hai...Driver ka dhyaan...uski taraf jata hai.

Major- akk… Sodhi Bachao
Lekin Scorpio disbalance hokar neeche Nadi kinaare ki Ret mein jaa girti hai ek bada paththar uske paas aakar girta hai.

Sodhi- aah..Sir aap theek toh hain.
Major-haan main theek hoon..bas jara pair mud gaya hai...dekho Varun aur Ajay ko.
Sodhi(check karte huye)- dono behosh ho gaye hain sir.
Major- Damm woh aawaaz issi bade paththar ki thi...shayad yeh upar se fisal kar neeche aa gira hoga... humare equipments bhi barbaad ho gaye...Signal kaam nahin kar rahe ki madad bulaai jaa sake.

Sodhi paas ki nadi se paani lekar Varun aur Ajay ko hosh mein laane ki koshish karta hai.

Varun-Sir..aap theek toh hain..
Major-haan..Ab humein yahan se chalna chahiye..baarish tez ho rahi hai..thodi der mein yeh Nadi ka kinara paani se bhar jaayega.

Sabhi ek doosre ko sahara dekar Nadi ke paas ke jungle mein chal padte hain.

Ajay-Sir.unn Civilians ko khojne ke mission ka kya hoga..hum log khud hi ab kho se gaye lag rahe hain.
Major-Hum log Army se hain...aise haalaato ki aadat honi jaroori hai..Right Captain Varun.
Varun-Yes sir...Hum log pehle Mission par dhyaan denge..par uske liye planning se kaam karna padega.
Major-theek hai...yeh jagah sahi lag rahi hai..yahin tent lagao..Kal subah hum log khoj par niklenge.

Sab log khana khaakar So jaate hain..Raat ke 2 baje achanak Ek ladki bhaagti huyi Ajay ke tent mein ghus jaati hai.
Ladki(Roti huyi)-Bachao.. bachao.
Ajay (hadbadakar uththa hai)-Kaun ho tum...kya hua?

Ladki- Woh Bahar mere peeche
Ajay-Kaun hai tumhare peeche...Ruko main dekhta hoon...

Dono Tent se bahar aate hain...tabhi ek hatta-katta shareer Ajay ko peeche se pakad leta hai...uski giraft mein fanskar Ajay ke haath se Bandook chhootne lagti hai...Ladki cheekhti huyi doosre Tent mein chali jaati hai.
Idhar Achanak ek Goli galti se chal padti hai aur Woods mein ek cheekh goonjti hai...Woh badi aakriti Ajay ko chhod kar woods ki taraf bhaagti hai.

Major...Varun..Sodhi apni guns ke saath kai round Fire uss disha mein karte hain..magar koi aawaaz nahin aati..

Sodhi- Oye yaar Tu theek toh hai?
Ajay-haan main theek hoon...saala bada taakatwala tha.
Major-woh tha kaun..tumne use dekha?
Ajay-Nahin..woh peeche se aaya tha..par iss ladki ne dekha hoga.

Major ladki ki taraf mudta hai.
Major-Kaun ho tum..aur woh kaun tha?
Ladki(Rote huye)-Mera naam Kanak hai...Hum kuch dost yahan ek Durgam Mandir ke darshan par aaye the..magar bhaari barish mein raasta band hone ke karan paidal jungle ke raaste aage badhne lage.. Raat hone par Ek jagah Ruk gaye.. Raat mein achanak kuch Jungli logon ne hum par hamla kar diya aur Mere Ek Dost ko maar diya.

Ajay- U mean yahan kuch Aadi waasi khooni jungli hain??
Kanak-haan.
Sodhi- yeh kya mazaaq hai..Aise jungli yahan..
Kanak(Gusse mein)-Yeh mazaaq nahin hai.
Varun-Ok.Ok par tumhare baaki saathi kahan hain?
Kanak-Mujhe nahin pata..Meri 2 saheliyan aur thi..Sakshi aur Ritika...mere peeche ek jungli pad gaya tha..isliye main bhaag aayi.
Major-Sakshi?? Wahi jo Army mein hai?
Kanak-haan..Aap jaante hain use?
Major-Usne Base par kisi tarah se contact kara tha...Tum logon ko khojne hi hum yahan aaye the.
Ajay- Great..yaani woh Zinda hai.
Major- Not sure kyunki ab tak kaaphi waqt beet gaya hai.. jaisa yeh ladki jungliyon ki baat kar rahi hai....kaha nahin jaa sakta ki jungliyon ne ab tak unn dono ko zinda rakha hoga.
Varun- Lekin Sir..unhe khojne jaana hi padega.
Major-Right.Aisa karte hain..ek Aadmi baari baari se pehra do...Subah hone mein kuch waqt hai..

Subah ki pehli kiran ke nikalte hi..Sabhi taiyaar hokar Nikal padte hain....Kanak ke batai disha mein jaate huye dopahar ho jaati hai.
Kanak-Yahi woh jagah hai Sir..jahan humne Tent lagaya tha.

(Woh jagah Khoon se latpath thi....Upar Oonche ped hone ki wazah se Barish neeche tak nahin aa paayi thi..patharo par khoon ke cheente saaf dikh rahe the..Ghaseete jaane ke chinh aur Ek Ungli ke milne ke baad yeh confirm ho gaya tha ki wahan bahut hinsa huyi hai.)

Varun-Sir..Iss jagah ke haalaat bata rahe hain ki 1-2 log itna sab nahin kar sakte.

Major- humein kis taraf jaana hai iska pata kaise chalega?

Ajay-Sir..Humein alag alag jaana chahiye.

Major-don't be childish...Tum jaante ho isme kitna khatra hai.

Ajay-Lekin sir..iske alawa koi aur raasta nahin hai...Bina jaankari kisi ek taraf jaana samay barbaad karna hai.

Sodhi- Haan sir..Ajay ka kehna sahi hai...Humein planning se mission ko poora karna hoga.

Major-Ok 4 Direction hain.Sab alag disha mein jaayenge...Kanak tum Ajay ke saath rahogi.

Baaki sabhi (Salute karte huye)-Ok Sir….aur sab nikal padte hain..Ek anjaane safar anjaani talaash par.

Sodhi chalte huye ek Nadi ke kinaare baithta hai...tabhi kuch aawaaz aati hai...jaise koi Ped charmara ke gir raha ho...woh aawaaz ki disha mein jaata hai... Zameen par usko khoon ki 1-2 boonde dikhti hain...woh Apni Gun nikaal leta hai.

Sodhi- Kaun hai...Saamne aa..

Tabhi Sodhi ko mehsoos hota hai ki uske kandhe par kuch tapak raha hai..woh sirr upar karke dekhta hai.. Upar ped se aaya Ek Teer uski aankh ke aar-paar ho jaata hai... woh wahin Gir padta hai.
2 Jodi pair wahan Nazar aate hain..jo uski laash ko ghaseetkar le jaate hain.

Ajay aur Kanak Jungle ke beech maujood ek Lakdi ke toote ghar ke saamne aa pahunche.

Ajay-Shhhhshh....Aawaaz mat karna...Yeh Ghar yahan viraane mein kaise.
Kanak- Mujhe darr lag raha hai.
Ajay- Daro Mat..yahi Ruko...Main andar dekhkar aata hoon.

Ajay Halke kadmo se Ghar ke peeche ek khidki se jhaankta hai..wahan kuch nahin dikhta...Woh pichle darwaaze ko halke se kholkar andar aata hai...wahan chaaro taraf sabkuch toota hua hai...Zameen par kaai..Usko wahan kuch kapde ke tukde milte hain....kisi ke rehne ka koi nishaan nahin milta....Ajay bahar nikalta hai....Tabhi uske sirr par ek waar hota hai...Dhaad
Woh Zameen par Gir jaata hai aur Jungli uspar Laat-Ghoonso ki barish kar dete hain.... woh log apni bhasha mein aapas mein bol rahe the..jo Ajay ko samajh nahin aata..woh Uthkar unn par Toot padta hai..

Kanak ko ek pagal apni Girafat mein lekar khada hota hai...Tabhi Ek Goli chalti hai..aur uss pagal ke Sirr ko Uda deti hai... Kanak aazaad ho jaati hai.

Major- Ruk jaao.
Magar shayad kisi ko uski baat samajh nahin aati hai...aur woh Ajay ko maarte jaate hain...Unme se ek Major ki taraf badhne lagta hai.

Major-Ruk Jaao..Peeche hato..warna maare jaaoge.
Usko apni taraf aata dekhkar Major Trigger daba deta hai.. Jungli Goli lagne ke force se 25 feet door jaa girta hai.

Bhaago Ajay..Kanak...Major Chillaya
Teeno Sirr par pair rakhkar bhaagne lagte hain...Major aur Kanak ki raftaar jyaada thi...Magar Buri tarah se ghayal Ajay jyaada khoon beh jaane ke karan Achanak behosh hokar Gir padta hai...
Kanak yeh dekhkar chilaayi...Aage bhaag chuke Major ka dhyaan peeche aata hai...

Major-Ajay Hosh mein…Aao…Kanak Humein…Ajay ko lekar jaana chahiye..woh Jugli kisi bhi pal yahan tak aa phunchenge.

Kanak- Theek hai…..Neeche Nadi beh rahi hai...Hum teeno ko usme koodna hoga...Hum Kum samay mein kaaphi door nikal….sakte hain.

Major- kya keh rahi ho..Yeh Baadh ka ayaa paani hai..Isme koodna maut ko daawat dena hai.

Kanak-Dekhiye…Baaton mein samay barbaad mat kariye...woh dekho Jungli aa….phunche hain..Humein turant….koodna hoga..Uthaao Ise.

Dono ne…Ajay ka ek-ek haath pakda aur Nadi mein kood gaye…Paani ke tez bahaav mein…teeno jaldi hi nazro se door nikal gaye.

Idhar Varun ek Aisi Badi si Basti mein jaa pahuncha jisme saare ghar Zameen se Kuch upar....bane huye the.....Varun ko achanak…kisi ladki ke cheekhne ki aawaaz aati hai....woh cheekh ki disha mein bhaagta hai….Jhaadiyon mein chupa woh dekhta hai...ki 2 ladkiyan bandhi hain.. saamne kuch Jungli naach rahe hain...Kuch baithe huye hain.

Varun sochte huye- Ho naa ho..yahi woh Ladkiyan hongi...jinko main khoj raha hoon...magar akela inhe kaise bachaaun...Pehle jaakar Major sahab ko yahan ka pata doon.

Tabhi woh dekhta hai Ek Jungli aata hai..Ek Ladki ko uthaakar le jaata hai.

Varun-Oh shit...lagta hai mujhe… inko khud bachana padega....Varun dheere dheere…chupta hua Unke Ghar ki taraf badhta hai...Andhere ka faayda bhi usko mil raha hai..Achanak ek Kutta….uske upar jhapat padta hai...jiski aawaz sunkar Jungli uski taraf badh aate hain....Kutte ko Chaaku se maarkar….Varun ko wapas bhaagna padta hai....woh jhaadiyon mein jaakar chup jaata hai...Magar Jungli uski khoj shuru kar dete hain.

Idhar Kisi tarah Nadi se bahar aakar….Kanak aur Major Ajay ko hosh mein laane mein safal ho jaate hain...Teeno Aag jalakar baithe hain.

Ajay-Sir...Mujhe lagta hai..Unn Ladkiyon ko khojne ka ab koi faayda nahin hoga..ab tak unke Zinda hone ka koi suboot nahin mila.

Major- tum sahi Keh rahe ho...par humein Varun aur Sodhi ka intezaar karna hoga...Jinhe maine subah tak Point 515 par milne ko kaha hai.

Kanak- Yeh Aap dono kya keh rahe hain...Meri dost aur aapki ek soldier khatre mein hai aur aap usko…khojna nahin chah rahe.

Major-Kanak aisi baat nahin hai... hum logon ke transmitter….wagairah sab kharaab hain...Naa humare paas Poore hathiyaar hain..naa Aage badhne ke liye koi saadhan..Ajay ki haalat tum dekh hi rahi ho..aise mein humein wapas jakar madad lane….ki jaroorat hai.

Kanak- Aap log jaaiye..Madad laaiye..Main yahan haath par haath rakhkar….nahin baith sakti..main khud jaaungi..unhe khojne.
Itna kehkar….woh jaane lagti hai...Major aur Ajay ek doosre ka chehra dekhte reh jaate hain.

Idhar….Varun kisi tarah Jungliyo ki nazar se chupta hua…Ussi Jagah par pahunchta hai….jahan Sodhi maara gaya tha...Torch ki roshni mein khoon dekhkar uski…sitti-pitti gum ho jaati hai.
Varun- Oh god...Sodhi issi taraf aaya tha..kahin…yeh?

Varun aage badhta jaata hai..ki achanak uske pairo ke neeche se…zameen darak jaati hai.. woh khud ko ek gehre gadhdhe mein…gira paata hai...aur charo taraf se Bhaalo ki Nok uske….upar tik jaati hai.

Arre Suno Kanak....Hum tumhe akele nahin jaane de sakte...hum tumhare saath aayenge...Ajay aur Major bhi Kanak ke saath….chal padte hain.

Idhar Jungli….Varun ko behoshi ki haalat mein….apne kabeele mein le aate hain....Yeh ek Band…Bada sa Kamra tha..jahan pehle se….Sakshi bandhi hoti hai....aur koi nahin hota.
Sakshi ke…..dheere dheere….aawaaz dene par….Varun ko hosh aata hai..

Sakshi-Suno...hosh mein aao.
Varun-Aah...mera sirr ghoom raha hai..kahan hoon main.
Sakshi-Tumhe….yeh Jungli yahan laaye hain..tum kaun ho?
Varun-Mera naam….Varun hai...Main aur mere…kuch saathi yahan tum logon ki khoj mein…hi aaye the.Magar….main pakda gaya.
Sakshi-Oh…Thank God...shayad tumhare saathi….humein khojte huye yahan aa jaayein...maine toh Ummeed hi….chhod di thi.
Varun-Tum….kya sakshi ho?
Sakshi-Haan...Main yahan…Apni Didi ki talaash mein aayi thi...magar inn…logon ne mujhe pakad liya.
Varun-Kya….tumhe Apni Didi dikhi…yahan kahin.
Sakshi-Nahin...Magar iss kabeele ke Raja….ko yeh pata chal gaya hai ki woh meri behan thi....Inn logon ke mere Bag mein padi….meri aur didi ki photographs dekhi hain.

Tabhi…..2 Jungli Behosh Ritika ke shareer ko lakar Beech….mein bane ek Taantrik numa ghere mein rakhkar…..chale jaate hain.
Kuch Jugli auratein…..uss Ghere mein aati hain aur Behosh Ritika ke saare Kapde….utaarkar le jaati hain....Ek Jungli….wahan ek bada Ghada lekar aata hai...aur Ritika….ke shareer ke upar udel…deta hai...Varun aur Sakshi yeh dekhkar sakte….ki haalat mein aa jaate hain.....Behkar aata woh Liquid….jab Sakshi ke pairo ke paas….tak aakar rukta hai..tab unn dono ko…..pata chalta hai ki woh kuch aur nahin……balki Khoon hai.

Sakshi cheekhte huye...Nahin...yeh tum sab kya kar rahe ho..chhod do Ritika ko.
Sardaar hanste huye…..wahan aata hai...aur sabhi uske…..abhivaadan mein Jungli boli mein…..kuch naare lagaate hain....Sardaar ek bade se Kursinuma Singhsan…..par jaa baithta hai.

Sardaar- hahaha...Aaj Humare Devta…..bahut khush honge...Bahut Dino baad Bali ke liye…..koi kami nahin huyi.

Varun- Kameene...Thu hai…..tujhpar jo humein baandhkar...kuch ladkiyon par apna…..zor dikha raha hai....Dum hai toh Khol…..haath mere aur aa….maidaan mein.

Sardaar- hahaha...tera yeh tadpana…..aur chillana bahut achcha lag raha hai...magar tu aur tere saathi…..bachenge nahin.

Itne mein Idhar Ek Boodha Tantrik…..wahan daakhil hota hai..jiske haath mein Ek thaal hai...jispar kapda dhaka hua hai...woh uss thaal ko lekar…..Sardaar ke paas aata hai..Sardaar uss thaal ka kapda hata deta hai...aur Varun ki cheekh goonj utthi.

Varun..Sodhi..nahin...kameeno…..yeh tumne kya kiya mere dost ke saath.

Sardaar- hahaha...Yeh sab tum logon…..ke saath bhi hoga.

Itna kehkar woh…..Sodhi ke Sirr par cheera lagata hai aur uska Dimaag nikaalkar khaa leta hai...aisa karte hi..baaki Jungli ek taraf bhaagte hain...Sabki Nazar…..uss taraf ghoom jaati hai...wahan Sodhi ka baaki shareer latak….raha hota hai...jo kuch hi der mein….Jungliyon ke pet mein chala jaata hai.

Idhar woh Tantrik…..Ritika ke Khoon se sane shareer par tantrik kriyayein…..karne lagta hai...aur phir usko Bali vedi…..par le jakar ek jallad uski bali….de deta hai.

Idhar Ajay aur Kanak ke saath….Major bhi Kabeele ke bahar aa pahucha....woh dono ko bahar nazar rakhne ko kehkar…..kabeele ke andar ghus jaata hai....Chupta hua woh ek Jhopde ke paas…..jaakar rukta hai..jiske andar se kisi ke baat karne ki aawaaz aa rahi thi...Jo Jungli bhasha mein thi.
Jaldi se…..Garam Paani laao...Aaj hi lagta hai samay…..aa gaya hai.
Major ko…..kuch samajh nahin aata..magar woh…..Ek jhalak uss aurat ki dekhta hai jo andar karaah rahi thi...aur shayad Pet se thi..
Jungli auratein…..jaise hi bahar jaati hain...major andar daakhil…..ho jaata hai.

Major-Suno..Kaun ho tum?
Aurat-kaun...Aap kaun hain?
Major-Mera naam Major Vijay hai..Kya Tum Sakshi ki behan ho?
Aurat-Sakshi..haan aap jaante hain use.
Major… thandi aawaaz mein- Haan who…yahan tumhe khojne hi aayi thi..magar khud pakdi gayi...Mujhe usko…..yahan se bachana hai.
Aurat-Aap usko yahan se le jaaiye..yeh sab pagal…Jungli hain...Main bhi yahan aayi thi..Magar yahan aakar aap…dekh rahe hain meri haalat kya bana di hai...Roj yahan ka Sardaar…. mujhpar kehar dhaata hai...Usne mujhe sirf isliye zinda rakha hai..taaki main usko ek bachcha de sakun...Aaaaahhhh

Usko labour Pain shuru ho jaata hai...Major chupkar…..bahar chala jaata hai...aur Varun se kuch doori se usko Seeti numa khaas ishara karta hai.

Varun-Lagta hai…..Major aa gaye hain...
Major Jugliyon ko chakata…..aur Ek Jhopde se doosre Jhopde…..par kalabaaziyan khaata hua....Bandhe huye Varun tak….jaa pahuncha.

Major-Ghabraao mat...Main chhudata hoon...tumhe.

Major jaldi se Sakshi ke….bandhan khol chuka hota hai..magar jaise hi Varun ki taraf…..mudta hai...peeche se Ek lambi Talwaar…..uske Pet mein aa ghusti hai...aur hansta hua badsoorat shaqal wala….Sardaar nazar aata hai..

Sardaar-hahaha...Issi Fauji…..ke liye itna lambi baatein kar raha tha tu....yeh toh ek hi….vaar mein duniya….chhod gaya..
Woh Sakshi ko haath….pakadkar le jaane lagta hai...Varun uske pair mein pair fansakar…..rokne ki koshish karta hai...Magar Sardaar….talwaar ka waar karke uski gardan ko….dhad se Juda kar deta hai.
Sakshi….Sardaar ke haath par kaatkar….bahar ki taraf bhaagti hai.

Idhar….hungama aur Dhuaan dekhkar Ajay bhi….andar jaana chahta hai..Magar….Kanak usko….yeh kehkar rok leti hai..ki Major ke aane ka intezaar kiya jaaye.
Ajay Binocular se…..dekhta hai ki….Ek ladki bhaagti huyi Jugliyon ke beech se…..bahar ki taraf aa rahi hai.
Ajay- Mujhe lagta hai…..woh ladki khatre mein hai...Mujhe usko bachane jaana hoga.
Itna kehkar Ajay….bhi Goliyan chalata hua...Kabeele ke andar aa jaata hai...Kanak bhi uske saath…..hi andar aa jaati hai.....Lekin kuch rounds ke baad….uski goliyan khatam….ho jaati hain...aur saare Jungli teeno ko gher….lete hain.

Thodi der mein….khud ko ek Band kamre….mein bandha paate hai....jiske peeche ek khaai….hoti hai..
Kamre mein…..ek taraf Sardaar….baitha hota hai...Jisko 2 Jungli daasiyan…..sharaab Pila rahi hain.

Ajay- Kaun ho….tum log...iss tarah itne….Nirdosh logon ko maarkar tumhe kya mil jaayega?
Sakshi- yeh sabhi….Cannibals hain....Aadamkhor..Inhone tumhare sabhi saathiyon ko maarkar khaa liya...
Ajay- kya Major sahab….aur Varun, Sodhi..maare gaye?
Sakshi- haan.

tabhi ek jungli….aurat unki taraf aati hai aur Kanak ko kholkar le jaane lagti hai.

Ajay-Nahin….Ruk jaao...Usko haath mat lagana....Mujhse baat karo...Ruko.
Sakshi Ajay se- Yeh kaun hai tumhare saath...kya tumhari saathi?
Ajay Surprise hokar- Yeh Kanak hai...Tumhari dost..tum isse nahin pehchaan paa rahi.
Sakshi- Nahin yeh meri dost nahin hai...tumhe koi galatfehmi ho rahi hai...Maine ise kabhi nahin dekha.

Background mein….ek bahut suspenceful music….bajna shuru hota hai.....Ajay ki nazarein…..Daasi dwara le jaa rahi Kanak ki taraf…..ghoomti hain....jo Ab tak Sardaar ke singhasan tak….pahunch chuki hai....Sardaar usko…..pakadkar Ghoomta hai..aur dono ek lamba Kiss karne lagte hain....phir Kanak apne western Kapde…..utaar deti hai...Uski Daasi usko Jugliyon waali…..ek dress pehnne ko de deti hai..jisko pehankar woh Ajay ke paas aati hai..aur uske chehre par….ek aankh maarti hai.

Kanak- Hairaan..Pareshaan….Ab tak nahin samjhe...ki main tumhare nahin....balki In sabke ke saath hoon...Main hi iss kabeele ki Rani hoon...Rani...Jhatka laga naa...hahaha

Ajay- kyun......kyun kiya tumne yeh sab...Itna bada dhokha..Maine tumhe bachaya tha.

Rani- Kisi ne....kisi ko nahin bachaya hai...Woh ek naatak tha..mera tum logon ke beech....jaakar tumhara bharosa....haasil karne ka...taaki tum sabko....Maut ke ghaat utara jaa sake...iske peeche 2 wazahein thi....pehli Humara kabeela....Aadamkhor prajaati hai...isliye hum yahan....ghane Junglo ke andar....rehte hain...aur bhoole bhatke aaye....insaano ko nishana banate hain.

Ajay- aur Doosri Wazah?

Rani- Doosri wazah hai...humein ek Aisi Bahari....ladki ki talaash thi..jo Bahadur ho...kyunki Main maa....nahin ban sakti thi..aur iss kabeele....ko waris ki jaroorat hai...Humare Guru Taantrik....ne Humein bataya tha..ki Hone wala....Yuvraj kisi Yudhdhak Maa....ki kokh se hi aayega...isliye hum Apne jungli kabeele....ki kisi aurat ko iss kaam....ke liye istemaal nahin kar sakte the...Humari kismat achchi thi...ki iss Ladki (Sakshi)Ki Badi behan...ka pata humein Ek saal...pehle chal gaya...Usko jab humne pakda tha..tabhi se Apne..Waaris ka intezaar humein hai...Jo Aaj poora bhi ho jaayega..iss Ladki (Sakshi)ne apne ek....yantra ki madad se bahari....duniya waalo se sampark...kar liya tha...humne isko roka toh magar....tab tak yeh apna kaam....kar chuki thi..yaani bahar se yahan....log jaroor inhe khojne aate...Iske saaman ki talashi....se humein pata chala ki....yeh toh Uss aurat ki behan hai jo....ek saal pehle se yahan hai...isliye phir Mujhe yeh...saara khel rachna pada...jo Teri maut par aakar khatam hoga...Tum logon ki gaadi par....chattan girna haadsa nahin....humari kaargujaari thi..Main Joshimath mein hi pali badhi hoon...isliye kaam chaalau Hindi aur Angrezi jaanti hoon...Jo thodi bahut...apne pati ko bhi sikha di hai...isliye baaki Jungli tum logon ki bhasha....nahin samajhte.....Ab tumhare saare sawaalo....ke jawaab mil chuke hain...Marte huye...aasani hogi....hahahaha

Ajay- Bahari duniya....dekhne ke baad bhi tum Inn Aadamkhoro jaisi ho...tumhe sharm....aani chahiye.

Rani aage aakar Ajay ke baal pakadkar- Main Aadamkhor...Nahin hoon...Main Isliye hi yahan kum rehti hoon...Lekin bahar ki duniya....ne mujhe kuch nahin diya....siwa dard ke..paida hote hi....mujhe kisi ne kachre mein fenk diya...Ek budhiya ne mujhe pala...jo shehar ki sadko par jhaadu lagati thi...main logon ki joothan khakar...badi huyi.. Ek baar Jungle mein ghoomte huye...mujhe ek jaanwar se inhone bachaya...aur phir main....inhi ki hokar reh gayi...Inhone mujhpar...kabhi koi dabaav nahin daala..magar Rani hone ke naate....iss kabeele ke liye...mujhe apne farz nibhaane hain.

Tabhi Iss baatcheet ko....ek aawaaz rok leti hai.....Darwaaze se daasi ek bachhe....ko lekar aati hai....aur Rani ke haath par rakhte huye kuch kaan mein kehti hai.

Rani- Ohh woh mar gayi....koi baat Nahin.
Rani bachche....ki Jaanch karti hai.
Rani- Yeh nahin ho sakta...
Sardaar- Kya hua?
Rani- Humein.... humara waairs....nahin mil paaya...Yeh Ladki paida huyi hai...Offf... Itna lamba....intezaar…saari mehnat barbaad ho gayi.
Sardaar- shaant ho jaao Rani...Shayad Issi waqt....ke liye Devta ne iss ladki ko....yahan bhej diya tha...Ab jo kaam....iski behan nahin kar paai woh....yeh karegi.

Phir Rani....Sakshi ki taraf Mudti hai- Tujhe itne samay....Zinda rakhne aur Sardaar ke tere saath....waaris paida karne ki koshish....se pehle humein kuch....Baliyan aur anusthaan....karne hi the....jo sanyog se poore ho gaye hain...Iss baar Humare....kabeele ko uska Yuvraj....mil jayega....(Le jaao isko....aur Sardaar ke liye taiyaar karo)Jungli boli mein).

Kuch jungli Auratein....naachti huyi aati hain aur Sakshi ko....le jaati hain.

Ajay ko....Bali vedi par le jaaya jaata hai aur pehle...uske haath...phir pair...kaat dete hain....Usko ulta latkaakar...saara khoon nikaal kar ek bade se....bartan mein bhar....liya jaata hai...background mein...Major aur Ritika ki laashein....bhi dikhti hain..

Rani naachti huyi....baaki Auraton ke saath....Devta ki aaraadhana karne lagti hai....Thodi der baad....Sardaar uthkar ek kamre....mein chala jaata hai..aur ek...Cheekh goonjti hai......Sab ke sab hairaan hokar...uss kamre ki taraf nazar....uthaaye huye hain....ki tabhi badhawaasi mein...Sardaar bahar bhaagta hua....aata hai aur aakar....ek taraf gir jaata hai....Rani bhaagti huyi aati hai....usko palatti hai...toh dikhta hai....Sardaar ka Guptaang Kat chuka hai..woh mar gaya hai.

Rani gusse mein....cheekhti aur talwaar lekar...kamre ke andar jaati hai...jahan Sakshi uske....chehre par chaaku se waar karke...bahar ki taraf bhaagti hai....Lekin chaaro taraf....se ghir jaati hai...Sabhi Jungli uski taraf...toot padte hain...ki tabhi Pahaadi ke neech se....Army Helicopter nikalkar Firing...shuru kar deta hai...Jungli kuch samajh paayein....usse pehle hi Sabki....kati piti laashein idhar udhar....udne lagti hain.
Sakshi ek surakshit jagah....par chup jaati hai....Helicopter Neeche utarta hai aur usme se....Army Officer nikalte hain...Sakshi paas aati hai.

Officer- Tum theek ho naa...Baaki sab...kahan hain..Major Sabarwal.
Sakshi-Koi nahin....bacha
Officer- what..Humein....yahan se nikalna hoga...chalo.

Helicopter....Sakshi ko lekar....Udaan bharta hai...aur kshitiz par ojhal ho jaata hai.

Last mein....Nadi se ek khoon....se latpath aurat ka haath....bahar nikalta hai..jisme ek bachcha hai.

_____________________________



*) - ''MAHESHWARI TOH MAREGA HI''

 (Ranjana Sharma)


Mr.Gopinath Maheshwari did not join his family for breakfast that morning. He didn't even step out of his room. This was something very unusual.Often he was found in his study by this time. The prominent businessman had called for a doctor instead. The entire family was surprised.




"High blood pressure! I suppose it was normal a week ago. Is there some kind of a problem?"

"NO or maybe yes I suppose."Said Mr.Maheshwari.



And his wife could no more pretend to be normal.A droplet escaped from her left eye and then another from the right.

"Well! I might be of some help." Said the doctor.

Just then somebody knocked the door. It was Savita, just another maid.



"Sahab vo bahar police wale aye hain. Bole apse baat krni hai."



Mr. Maheshwari jumped out of his bed and rushed towards the hall followed by his wife. It was inspector Khan,a very well known name in his field.



 "Morning miste...."



"Thank God you are here. Itna vaqt lag gya?Khair aap baithiye. Jaisa maine apko phone par btaya hi tha raat ke lagbhag 2 bje the jab uska phone aya usne sirf itna kaha ki 'kuchh hi din bche hain. Jo kr skta hai kr le maheshwari ko marna toh hai hi!"




"Sabse pehle aap hi ko btana thik smjha. Ghar par bhi kisi ko kuchh pta nhi hai" said his wife.



"Hmm... Kisi pe shaq hai aapko? Vaise ye hone ko 1 mzak bhi hoskta hai janab."



"Mazaak! mzak me koi mujhe maarne ki dhamki dega?"



"Kafi logon ka aana jaana hai yahan. Sbki introduction."



Mrs.maheshwari-"Me kanchan inki wife. Ye niharika meri bahu Siddhant humara beta Akriti humari beti. Ye Dr. Sinha 5 mahino se inka yahan lgatar aana jana hai. Baki sb naukar hain... Shyama baki naukron ko bhi bulao.''



After being introduced to everybody the police went away. They left 3 constables behind. The constables were asked not to leave him alone even for a minute. The bunglow had never been so silent. The unusual silence made it more difficult for the family. In the evening inspector Khan came back again with a sad news, the call could not be traced. It was a short one.



Just then entered Satish , Kanchan's only brother. ''Ye kya sun rha hun me, jija g apko kisi ne maarne ki dhamki di hai? Arre inspector sahab kuchh pta chla?''



Kanchan- ''Ye mere bhaiya hain. "



"Hmm, Ap log dhyan rkhen aur hoske toh kuchh din ghar pr hi rhe."



..............



1 Mahina hone ko aya aur sbko lgne lga ye sb kisi ne 1 mzak kiya hoga. Dhire dhire kuchh log toh is front page headline ko bhulane bhi lage the. Bhut dino se office ka sara kaam Siddhant aur Niharika akele hi dekh rhe the. Maheshwari sahab ab office jaana chahte the par Kanchan manne ka naam nhi le rhi thi.



''Itna ghabraane ki zrurt nhi hai. We'll call for Dr.Sinha aur fir agar unhone approve kr diya toh constables toh hain hi.'' Well Dr.Sinha arrived and said his BP was normal. So for the 1st time after that call he stepped out of his home. The police was careful. They went to the office and returned but nothing happened. This made them even confident. The following day Siddhant found a file on his desk. As soon as he picked it up.



He found a paper falling out of it. Well typed in bold red, '' Maheshwari toh mrega hi vo bhi aaj :D '' . With an evil smilie. He rushed to the seminar hall where his father was sitting in a meeting. He pushed the door with a bang and all wet with sweat ran towards his father and took out a slip from his pocket. His hands were shivering. Gopinath all shocked read through the paper and the constables immediately asked everybody to move out of the hall. Inspector Khan was called who reached the office in less than an hour with a few armed officers.



He took the slip and looked for any kind of a clue. ''Who left the file in your office Siddhant?"

''Pta nhi!  Subah  mere aane se pehle hi ye file mere desk pr thi.''



''Koi office se bahar nhi jaana chahiye isse ye toh saaf hojata hai ki ye kaam kisi office wale ka hi hai. Is vaqt priority Gopinath g ko sahi salaamat ghar pahunchana hai. Sabse pehle parking area ke aas paas se sbko hatta do. 1 gaadi bahut security ke sath inke ghar ke liye niklegi aur Maheshwari sahab ke kpde pehne hue me us gaadi me rahunga. Jabki 2sri gaadi kuchh constables ke sath inke farmhouse jaegi aur Maheshwari sahab aap mere kapde pehn kr 1 constable ke sath meri jeep me police station jaaenge jahan se apke shehar se bahar jaane ka intzaam kr diya jaaega. Kisi ko koi shaq?''



''Planning ke annusaar sbne kpde badl liye. Seminar hall se parking tak ka raste par se sbko hatta diya gya aur plan ke according sab gaadiyon me baith gye. Khan sahab ko yakeen tha ki raste me unki gaadi pr attack zrur hoga. Vo chaukanne the. Farm house jaane wali gaadi me bhi sab log chaukanne the. Jeep me baithe Gopinath sirf Khan sahab ke plan ke bharose the. Vo bas Bhagwan se mannaten maangne me vyast the.



Udhar office me sub inspector apni team ke sath sbse sawal jwab kr rhe the. Niharika ko bhi ghar ke liye rawana kr diya gya. Aur Siddhant har 5 minute me apne papa ko phone krke unki khabar puchh rha tha. Office se ghar ke raste pe achanak kuchh bikes ne Khan sahab wali gaadi ka pichha krna shuru kr diya. ''Ho na ho yahi hain, chaukanne rho sab log ye kbhi bhi hum par attack kr skte hain.''Police jwabi karryawahi ke liye tyaar thi. Vahan farmhouse jaati gaadi 1 sumsaan se raaste par thi jahan sab constables ki dhadkan tez ho chuki thi. ''Yahan zrur kuchh na kuchh hoga'' 1 ne kaha.Police jeep me baithe Gopinath ko toh yakeen tha ki aaj vo nhi bch skte unhone apne parivar ko akhiri khat likhna bhi shuru kr diya tha. Unki jeep ke paas se niklne wali har gaadi ya bike unhe apne murderer ki sawari lag rhi thi.Office ke swal jwab bhi kisi bhi kaam ke nhi lag rhe the.



Bikes Khan sahab ki gaadi se aage nikalne lagi. ''Ye log pkka humara raasta bnd krenge.'' Udhar farm house wali gaadi farmhouse pahunch hi chuki thi. Sab log gaadi se utr kr darwaaze ki taraf bdhe toh darwaza khula paakr hairan hogye. Sabne apni banduken nikal li aur 1 constable ne per se drwaze  ko dhhakka diya. Maheshwari sahab lagbhag police station pahunch hi chuke the.



Farmhouse ka darwaazaa kholte hi andr 1 budhha sa insaan baitha dikha. ''Aee kaun hai be tu?''

''Sahab care-taker hun yahan ka.''

'' Hilna mat smjhe. Radhe iski talaashi lo aur  Satya aur Manuj tum ghar ki talaashi lo.''



Udhar Maheshwari sahab araam se police station pahunche jahan se unhe airport lejaane ke liye dusri gaadi khadi thi. Vo jaldi se us gaadi me baith gye. Khan sahab ki gaadi se aage nikalte bikes jald hi ojhhal hogye aur vo bhi Maheshwari mention pahunch gye. Farmhouse me bhi kuchh nhi mila sab theek tha. Office me bhi kuchh haath nhi lgaa.



Inspector khan- '' Mrs.Maheshwari ya toh ye sab mzaak hai ya fir dhamki dene wala office ka hi koi hai jo puchhtaachh ke chlte office se bahar nhi nikal paya.Khair yahan security ka pura intzaam hai. Gopinath ji plane me hain kuchh hi der me safe jgah pahunch jaaenge matlab abhi ghabraane ki koi baat nhi hai.'' 1 ghante baad Gopinath ne bhi phone krke ye btaya ki vo bilkul theek hai aur vahan unhe koi khatra nhi hai. Sab logon ki tension kam hogyi pr puri raat koi bhi nahi so paya. Raat guzar gyi.



Subah Gopinath Maheshwari ne TV on kiya toh breaking news dekhte hi vo behosh hogye.



''Jaane maane businessman Sh Gopinath Maheshwari ke bete Siddhant Maheshwari ki laash unke ghar ke raaste ke pass mili.Lash ke pas se police ko note mila hai jispe likha hai

'' Maheshwari ko toh marna hi tha........................''

Judging

The Hunt by Youdhveer Singh
 
(Average Panel Rating : 68)

Nine imagination, write up and detailing but the pace of the story went little slow when the describing the scenes after the Sakshi’s presence comes into camera and telling the readers about the background of the “attacking tribal community”. Over all it is nice and whole thing was interesting.



MAHESHWARI TOH MAREGA HI by Ranjana Sharma
 
(Average Panel Rating : 82 points)

Very clear visualizations while reading. Give more time to form loop by introducing characters well but still keeping the story unpredictable, so that when at the end we don’t feel like the ‘writer was scared that we would guess climax’ but rather reader should feel ‘Why I am so dumb, I should have doubted this first,’ which you did quite nicely but you can do even better.


 Result - Miss Ranjana Sharma wins the match and qualifies for Quarter Finals. Mr. Youdhveer Singh is eliminated from Freelance Talents Championship.

Panel of Judges - FA Gang Stuffs Group Members headed by Miss Simmi Singh (Author, Artist & Social Activist)

No comments:

Post a Comment