*) - Beginning of an End
(Rahul Ranjan)
(Inspired from Dan Brown's novel Angels and Demons with
original ideas)
SCENE-----1
Date:13 Dec 2012,Time:9:30PM
Place:Vatican-CIty
Martha:Madam,raat ka khana ban gya hai.Sophia madam bhi so chuki hai.Saara kaam khatam ho gya hai.Ab main jau?
Sarah:Haan ab tum jao.(wall-clock-mein-time- dekhte-hue)Ye Jenny kyun nhi aayi.Use pata hai ki aaj mera night shift hai.Fir bhi hamesha ki tarah late.Tum chali jao der bhi ho gyi hai.
Fir Martha chali jaati hai.Sophia isi beech nahane ke liye jaati hai aur shover on karti hai.Achanak TV set on ho jaata hai.
Sarah:(darte-hue)Ye TV kaise on ho gya hai.(jaakar-switch-off-karti- hai.Achanak-use-piche-kisi-ke- chalne-ki-awaz-sunai-deti-hai. Tezi-se-piche-murti-hai)Ka… kaun hai? Kaun hai vahan? Sophia tum ho kya? (dhire-dhire parde ki taraf barhti hai aur darte hue jhatke ke saath parde ko kholti hai par wahan koi nhi rehta hai.Use tabhi sirhiyon par kisi ke chalne ki aahat sunai deti hai.Vo piche palatati hai.)
Sarah:K..Kaun hai?.Kahi koi Sophia ko nuksan to pahunchane nhi aaya? (sirhiyon se bhagkar Sophia ke kamare mein jaati hai)Thank God! Sophia theek hai.(Itna kehkar vo piche murti hai.Use apni zindagi ka sabse bara aur akhiri jhatka lagta hai.Ek cheekh ke sath uski jeevanleela samapt ho jaati hai)
SCENE-----2
Date:14-Dec-2012,Time:1:30 AM
Place:New Delhi,India
(Church ka scene.Bahut saare log laal cloaks(labade)mein khare hai.Darwaze se usi tarah ka aadmi 3-4 saal ki behosh bachi ko godi mein uthaye dheere-dheere aage barh raha hai.Uske piche ek padri grail liye chal rha hai aur kuch mantra bud-buda raha hai.Grail se agarbattiyon ka dhuan nikal raha hai.Larki ko saamne Christ ki pratima ke saamne leta deta hai.Do log uss bachi ke dono hath ‘cross’ par lagate hain.Isi mein uss bachi ko hosh aa jata hai.Ek shaks do-bari keele(nails)aur hathaura uthata hai.Ek keel bachi ke baayein hatheli par laga hathaure se uspar vaar karta hai.Bachi dard se chillati hai.Par vo rukta nhi.Bachi bahut roti-chillati hai.Par uss krur shaks par iska koi asar nhi hota.Girjaghar ki chaar deewari uss bechari bache ki awaz se kamp raha hai.)
Harsh:(chikhte hue)Nahi! (uth kar baithta hai.Kuch der tak use apne manobhav ko samanya karne mein vakt lagta hai.)Oh God! fir vahi sapna! (Bed se uthkar table ke paas jaata hai.Jug se paani glass mein daalta hai.)Pata nahi kaun itna krur ho sakta hai(paani pee kar)Ab to neend aane se rahi.Horror movie jo dekha.
(Harsh dusre kamre mein jaata hai.Dusra karma kaafi saaf-suthara hai.Ek or book shelf hai jisme kai tarah ki kitabein(books)rakhi hui hai.Dusri or TV rakha hua hai aur uske saamne sofa.Sofe ke bagal mein glass ka table hai.Harsh sofe par baith TV switch-on karta hai.Uska dhyan ek-samachar par akarshit hota hai)
Reporter:Breaking News! Abhi-abhi hamare sutron se ye khabar aa rahi hai ki Vatican-CIty mein ek mahila ka bahut bedardi se katl kar diya gaya hai.Tasveerein apko vichleet kar sakti hai.Katil ne bahut hi behrahmi se yuvati ke do tukre kar diye hain.Yuvati ka naam Sarah bataya jaa raha hai.Police iss hatya ki tafteesh mein juti hui hai.
(TV par uss laash ki tasveer dikhayi jaati hai.)
Harsh:(chaunk kar)Ye nishan! Ye..ye…mumkin nahi hosakta.Ve lupt hochuke hain.
(Harsh tezi se Book-Shelf se kuch kitabein nikal panne palatne lagta hai.Jaise-jaise vo panne palatata hai,uski bhavein(eyebros)sikurne lagti hai.Fir turant internet par surfing karta hai.)
Harsh:Agar ye sabh sach hai to bahut bara anarth hone waala hai.Ise kisi bhi haalat mein rokna hoga.Aur aisa sirf Vatican-CIty jaakar hiho sakta hai.
Scene-----3
Date:14 Dec 2012,Time:6:45 PM
Place:Vatican-CIty
Announcement:Flight jaldhi Vatican-City airport par land karne waali hai.Sabhi passengers apni seat-belt bandh le.Thank You.Dobara seva ka avsar jarur de.
(Fir flight land karti hai.Baahar kai taxis lagi hui thi.Pure Vatican-City mein carnival jaisa mahaul tha.)
Harsh:(chillakar)Taxi!
(Taxi uske saamne jaakar rukti hai.Harsh usme baith jaata hai.)
Driver:Kahan jaana hai monseigneur?
Harsh:Yahan ke kisi ache Hotel mein chalo.
Driver:Samajh gaya.Main apko tourists ki pehli pasand meinle chalta hoon.
Harsh:Yahan abhi koi festival manaya jaa raha hai?
Driver:Haan monseignieur.Iss vakt hum saal ka akhiri aur sabse mahatvapurn carnival Calcio-Storico manate hain.Ye carnival ek tarah se ishwar ko dhanyawad deneke liye manaya jata hai.10 dino ka festival hai ye jisme sabhi Vatican-CIty ke log aur teeno pramukh cardinals bhaag lete hain.
(Inhi baton mein ve Hotel pahunchte hain.Harsh taxi se nikal use paise thamata hai)
Harsh:(lambi sans lekar)Hotel Vatican-Vista.
Receptionist:May I help you sir?
Harsh:A suite for one.
Receptionist:How many days sir?
Harsh:4 days.
Receptionist:(kuch likhne ke baad)Please sign here.(Harsh sign karta hai)Here sir your room keys.
(Fir Harsh room mein jakar darwaza lock karta hai.Refresh hokar vo luggage se kuch kitabein nikalta hai.Fir table par kuch panne palatata hai.)
Harsh:(chaunk kar)Oh!...aaj bhi ek mahila ka katl hoga.Ab main kya krun.Police mujh par vishwas karne se rahe.(Tabhi uske dimaag mein kuch aata hai)Are haan.Aaj to carnival shuru hai.Vatican-CIty ke saare log iss vakt carnival,mein hissa lerahe honge.
(Itna keh Harsh lamba-coat pehen,Side bag mein kuch kitabein dalta hai.Vo baahar carnival ki parade mein shamil hojaata hai.Betahasha idhar-udhar daurta hai.)
Scene------4
Date:14 Dec 2012 Time:9:30PM
Place:Vatican-CIty
Harsh:(Kisi anjaan mahila se)Iss naam se aap kisi mahila ko jaanti hain?
Anjaan Mahila:Me dunno.
(Harsh kai baar aisa prayas karta hai.Par harsamay nakamyabi)
Harsh:Ab main kya karun.Please God help me.
(Shayad ishwarne Harsh ki baat sun li.Use kuch mahilayein ek gali mein jaati dikhayi di)
Harsh:Ye mahilayein inn galiyon mein jaa rahi hai.Agar target iss bheermein hai to mujhe doubt hai ki katil uska khoon karega.Risk lena parega.Unke piche jaana hoga.Kya pata unme sehi koi target ho.
(Harsh bheerse apneaap ko kisi tarah nikalta hai aur uss gali mein pravesh karta hai.Par ve mahilayein aankhon se ojhal hojaati hain.Betahasha Harsh idhar-udhar unhe khojne ki koshish karta hai.Ant mein vo do galiyon ke muhane par aakar rukta hai)
Harsh:(gusse mein)Shit!Damn it!(Itne mein use piche se aawaz sunai deti hai)
Aawaz:Hands Up!Apne hathon ko sir pe rakho.Hilna mat.(Harsh orders maanta hai)Good! Ab dheere-dheere piche muro.
(Harsh piche murta hai.Vo apne aapko ek kala suit aur chashma pehne aadmi aur kuch swiss-guards se ghira hua pata hai.Kaale suit waale admi ki shakl use jaani-pehchani lagti hai.)
Harsh:(surprised)Akshay,tum.. Yahan?
Akshay:Harsh,tum yahan kya kar rahe ho.(swiss-guards se)Put your guns down men.
Harsh:Abhi iss sab ka vakt nahi hai.EK mahila ka katl hone waala hai.(Tabhi kisi ke cheekhne ki aawaz sunai deti hai.)
Akshay:(ishara karte hue)Uss taraf!
(Dono aur swiss-guards tezi se aawazki disha mein bhagte hain.)
Akshay:Oh god! Usi tarah ki hatya.Maine aaj tak kai dead bodies dekhi hain.Par aisa sirf dusri baar.Kaun kar sakta hai aisa.
Harsh:Maine tumhe aagah kiya tha.Hum ise bacha sakte the.Par tumhe mujh par shak kyun hua.
Akshay:Carnival mein tum idhar-udhar daur rahe the to hame shak hua.Pehle katl ke baad surakha kari kar di gayi hai.Par tumne iss katl ke baare mein kaise pata chala?
Harsh:Ye lambi kahani hai.Tum iss par vishwas nahi karoge.
Akshay:Main tayar hoon.Carnival ke samay aisa hona,sirf aur sirf shaher mein dehshat failayega.Abhi tak hamare hath kuch bhi pukhta sabut nahin laga hai pehle murder par.(Fabio se)Lash ko post-mortem ke liye bhejdo.
Fabio:(Transmitter par)St.Peters Square par ambulance bhejo.Jaldi!
(Tabhi unhee media ki aawaz sunai deti hai.Harsh-Akshay piche murte hain.)
Akshay:Ye media wale kahin bhi aur kisi bhi vakt pahunch jaate hain.
Fabio:(swiss-guards se)Roko unhe.Ye crime scene hai.
(Kuch swiss-guards bari mushqilse unhe rokne mein safal hojate hain.)
Harsh:Yahan se nikalna hoga nahi to reporters hamara sir(head)chat jayenge.
Akshay:Sahi kaha.
Harsh:(Dono chalte hue)Tumne vahan par se evidence nahin uthaya?
Akshay:Yahan par iske liye alag branch hai.Crime Scene Investigators.
Harsh:Ye to ajeeb baat hai.
Akshay:Lo coffee shop bhi aa gayi.
(Dono chair nikal kar baithte hain.Ek waiter aata hai.)
Waiter:Your order sir?
Akshay:One cappuccino.
Harsh:One plain coffee.(Waiter chala jaata hai)To Akshay,tum to school ke dino ke baad to jaise gayab ho gaye.Number bhi change kar liya.Mujhe to laga ki agar kabhi milunga to koi avishkar kar rahe hoge.Fir iss field mein?
Akshay:Haan yar lambi kahani hai,kabhi fursat mein sunaunga.Tum batao,tum kya kar rahe ho.Professionally?
Harsh:Forensics.Abhi Forensics mein as lab sahayak kaam kar raha hoon New Delhi CBI mein.
(Itne mein order aa jati hai.)
Akshay:(chuski lete hue)Haan to tum bata rahe the ki tumhe pata tha ki ye khoon hone waala hai.Kaise?
Harsh:Mujhe to uss aurat ka nam bhi pata hai jiska katl hua.Ab main jo tumhe bata raha hoon,vo dhyan se sunana.(Apne side-bag se 2-3 kitabein nikalta hai.)
Akshay:(surprised)Voooo…. Bible! Tum kab se inn cheezon par vishwas karne lage.
Harsh:Jo baate main bataunga use sunkar tum bhi vishvas karne lagoge.Ab batao mujhe kya cheez common hai iss katl aur pehle waale katl mein?
Akshay:Yehi ki dono ka berahmi sedo bhagon mein katl kar diya gaya.Aur fir unke khoon se kuch ajeebo-gareeb nishan banaye gaye.Shayad khooni sanki hoga.(sochte hue aur apne hothon par haath ferte hue)Aur ki ve dono mahilayein hai.
Harsh:Mera kaam ho jayega.Ab ye katil shayad sanki lag raha ho par vo katil ek sadiyon purane cult se jura hua jise purane jamane mein ordeali kaha karte the.Ye isa purv(before AD)se pehle ke rehne waale cults mein seek hain.Ye pehle ishwar ke hi pujare the.Parantu jab inka gaon ek bhayanak bhar(flood)se tabah ho gaya to ye shaitan ke pujari ho gaye.
Akshay:Bas itne mein hi?
Harsh:Agar ek baar barh aati to na….iss cult ne baar-baar apna gaon basaya aur har baar tabah ho gaya.Darasal ye kaam ishwar ka nahi balki shaitan ke bheje hue doot ka tha jo apne liye pujari chahta tha.Uss doot ne bhi ordealyon ko ishwar ke khilaf bharkane ka kaam kiya.Ant mein ve iss shaitan,jisse unhone Behemoth ka naam diya,ke pujari ban gaye.Unka manana tha ki jab shaitan dharti par ayega to ek naya brahmand rachega jisme sirf sukh,shanti hogi.Sabh jeev ek saman honge.Isliye unhone jyada se jyada logo ko Ordeali mein convert karne ka prayas kiya.Jo log convert nahi hote unhe maar diya jaata.
Akshay:(Beech mein rokte hue)Par inn baton ka katl se kaise sambandh hai.
Harsh:Sunte jao.Behemoth bhi dharti par aana chahta tha.Aur iske liye use chahiye tha bhakti ki aseem shakti.Par use jaankar ascharya hua ki vo ab bhi dharti par nahin aa sakta.Usne apne doot ko iss baat ka pata lagane ka aadesh diya.Idhar ordealyon ka atyachar barhta gaya.Uss samay raaj karne waale raja William Luke I se ise rokne ke liye apni puri taakat jhonk di.Pure army ko in ordealyon ko chun-chun kar khatam karne ka hukm diya.Unka prayas sarahniye tha,par tab bhi katl hote rahe.Ye sabh ishwar se dekha nahi gaya.Aur tab unhone Jesus Christ ke roop mein Bethlem mein janm liya.Unka maksad tha bhole bhale ordeali ko shaitan ke changul se nikalna.Shaitan iss baat se katai anjaan nahi tha.Usne kutil chalon dwara Christ ko bhi ordeali ghoshit karva diya.Par Christ jis maksad se aaye the,ve unme laghbag kamyab ho gaye.Par tab bhi kuch kattar ordeali the jo Christ ko jeevit nahi dekhna chahte the.Unhone Luke Constantine,jo William Luke ke putra the,ko ek sajish ke tahet fansaya aur unhe ye manane par majboor kar diya ki Christ bhi ek ordeali the.Constantine unke jaahne mein agaya aur Jesus ko crucify karne ka hukm de daala.Christ samajh chuke the ki unka vakt ab dharti par pura ho chukka tha.Crrucification ke ek din pehle unhone apne 10 disciples ko bulaya aur ek raaz ki baat batayi.
Akshay:Kaisi baat?
Harsh:(ek page mein point karte hue)“M XII partibus singulis annis fui nativitatem sacra ferens et usque ad terram bethlem quoad temperamentum est inter bonum et malum “
Akshay:Matlab?
Harsh:“Every 1000 years I have been taking birth in 12 parts on this sacred land of bethlem and will continue to doso as long as there is a perfect balance between good and evil.” Aur unke naam bhi unhone bataye.Ve unhi naamon ke roop mein janmenge.Aglehi din unko crucify kar diya gaya.Aur ye baat unn 10 disciples ne pirhi-der-pirhi chupaye rakha.Par jab 14century mein saare Bible parts combine kiye jaane lage tab unn disciples ke vanshajon ko laga ki itna mahatvapurn baat chupaya nahin jaana chahiye.Unhone charon pope,ko ye baat batayi.Saare Pope iss baat par do paksh mein bant gaye.Ek paksh chahta tha ki khabar sabhi ko pata chale,to dusra nahi.Fir unhone faisla kiya ki ise anshik roop se bataya jayega.Sirf 12 insano waali baat Bible mein likhi gayi par unke naam nahi.Naamo ki jaankari puri tarah se lupt na ho jaye isliye sirf ek bible ki copy mein ve naam likhe gaye jo iss vakt Vatican-CIty ke Archives mein hai.Shaitan samajh gaya ki vo dharti par kyun nahi aa saka.Ve 12 bhag hi iska kaaran the.Agar vo unn 12 mein se kinhi 8 ko bhi maarne mein safal ho jaaye to dharti par uske aane ka raasta saaf ho jayega.
Akshay:To tumhaare mutabik kisi ordeal ko ve 12 naam pata chal chuke hai aur vo chun-chun kar khatam kar raha hai.Aur ve nishan shaitan…kya naam bataya…haan Benemot...behe.…jo bhi hai ko bulane ke liye banaya hai.Jahan tak meri jaankari hai to Bethlem hi aaj Vatican-CIty.
Harsh:Theek kaha.Are meri coffe thandi ho gyi.(Ek ghunt mein pee jaata hai.)
Akshay:Agar aisa hai to usne pehle kyun nahi iski koshis kari.
Harsh:Ki thi.Jaante ho jab Galileo ne ye theory diya ki prithvi gol hai aur vo suraj ke chakkar katata hai to use apne hi ghar mein dharm ke followers dwara nazar band kar diya gaya.
Akshay:Haan kyunki Galileo radical vicharon aur khayalon waala tha.
Harsh:Galat.Sabh aisa hi sochte hain.Par asal kaaran ye tha ki Galileo ne anjaane mein hi un namon ko jaan liya tha.Jab vo ye discover kar raha tha ki prithvi surya ke charon or chakkar katati hai to Vo ye bhi jaan gaya tha ki jab Sun,Earth,Mars aur moon ek seedhi line mein ho to ek mahashubh ghari banti hai.Kaise mujhe nahi pata.Aur isliye use kaid bhi ordealyon ne kiya tha jo 14 century se dharm guruyon ke vesh mein jeevan jeene lage the.Un par dabav daala gaya ki vo saare naam bataye par usne aisa nahi kiya.Jab dabav jyada barha to unhone aatm hatya kar li.
Akshay:Ek minute…jab naam sirf ek Bible ki kitab mein tha to Galileo ko naam kaise pata chala?
Harsh:Vaise hi jaise mujhe pata chala.
Akshay:Mujhe yakeen nahi….(Mobile ki ghanti baj uthti hai)Oh.excuse me..(call uthata hai)Hello!...haan…hummm…acha.. bariya…thank you doc.(mobile rakh kar)Haan to tum naam bata rahe the uss aurat ka.
Harsh:Uska naam Arianna tha.
Akshay:(chaunk kar)IMPOSSIBLE! Kaise pata chala tumhe ye naam? Abhi abhi Fabio ka call aaya,Fabio swiss-guards ka head hai.Usne pata lagaya ki naam Ariyanna hi hai.
Harsh:Bataunga...thora patience rakho.(serious tone mein)Par Usse pehle Tumhe ek baat aur janana jaruri hai ki saare katl 20 Dec tak hi ho jayenge agar hum unhe nahi rok paye.
Akshay:Tum ek ke baad ek jhatke dete jaa rahe ho.Ab aisa kyun hai.
Harsh:Jaante ho 21Dec2012 kaun si tithi hai.Ye vo tithi hai JAB MAYAN CALENDAR SAMAPT HO JAATA HAI! Ye wo din hai jab 10000 salon mein pehli baar Surya,Prithvi,Mangal aur Chandrama ek seedhi line me honge.Aur iss maha ashubh avasar par 12 bhagon ko nasht karne par shaitan dharti par vapas aa sakega!
Akshay:IMPOSSIBLE!..Ye kaise mumkin ho sakta hai.Mayan sabhyata aur ordealiyon ke beech sadiyon ka faasla hai.Mayan jaati inn sabh baton ko kaise jaan sakti hai.
Harsh:Yaad rakho Akshay,mayan sabhyata hamari sabhyata se kaafi unnat thi.Unki technology aaj se kai guna advance thi.Shayad unhone aisi kisi sthiti ko pehle se hi bhamp liya hoga.
Akshay:Acha choro,ye batao ki tumne uss aurat ka naam kaise dhund liya.
Harsh:(Muskura ke)Aao dikhata hoon.(Bible kholta hai aur page palatate hue)ordeali samaj ka bahut bara mahatv hai Christian history mein.Aaj jaisa isayi (Christian)dharm hai uska shrey ordealiyon ko hi jaana chahiye.To fir itne pramukh samaj ko Bible ke panno se kyun hataya gaya.Agar tum bible dekhoge to ascharya roop se sirf 10 jagah hi ordealiyon ka jikra milega.(Bible ka pages palatatae hue)Par ajeeb baat hai ki jahan bhi jikra hota hai vahan par kai baar.Aur jaise hi agla page aata hai to vo aise gayab ho jaate hain jaise uska koi lena dena hi nahi tha.Ab jaise dekho.Pehla jikra hota hai page 1370 mein.(Bible ko Akshay ki taraf mura kar)Dekho pehla para dusra line.ordeali naam ke theek pehle word ‘ambitus’ hai.Uske baad sixth line mein ordeali shabd ke pehle ‘hypocrita’,second para seventh line ‘macer’,second para ninth line ‘insolta’ ,aur ant mein third para first line ‘pyxdih’ .Ab inn shabdon ke akhiri letter ko dekha.
Akshay:(shabdon ka akhiri letters dekhta hai.uski aankhe fati ki fati reh jaati hai)Ye…ye….ye to SARAH LIKHA RAHA HAI!
Harsh:Bilkul sahi.Galileo ko bhi shayad ye ajeeb laga tha ki sirf kuch jagahon par ordeali samaj ka mention kiya gaya.
Akshay:Mujhe to abhi bhi yakeen nahi ho raha hai.Jisne bhi kaha hai ki Bible is a book of secrets,sahi kaha hai.Pata nahi aur kitne raaz dafn rakha hai iss kitab ne.Par tum date kaise jaan jaate ho?
Harsh:Simple.Vo page number dekho.
Akshay:1312…oh! 13 December.(chehre par gambhirta ke bhav gehrane lagte hai)13 Dec ko to Sophia ka katl hua tha.AUr aaj 14th hai…yaani yaani 1412 page par Arianna ka naam hona chahiye.(Tezi se panne palatata hai.ordeali shabd khojta hai.Thore hi der mein use Arianna ka naam bhi mil jaata hai.)Oh god,…agar aisa hai to agla katl kal hoga.Par ek baat batao ki 1312 13dec 2012 hi kyun hai? I mean ki ye 13dec 1912 ya 1812 bhi ho sakta tha.
Harsh:(lambi sans lekar)Kyunki shaitan ka shubh murat 1912 ya 1812 saal mein nahi tha.Par meri chinta ka ye Vishay nahi hai.
Akshay:Matlab?
Harsh:ordeali ka ab mention direct page 1912 mein hua hai.
Akshay:Matlab 4 dino baad.Ye to sach mein chinta ka Vishay hai kyunki do-din baad to iss carnival ka sabse mahatvapoorn din hai.
Harsh:Huhmm….
Akshay:(chintit avastha mein)Kaun hai agla shikar?
Harsh:Koi Camerlengo naam hai.
(Shayad Akshay ke liye shock ka silsila jaldi khatam hone waala nahi tha)
Akshay:WHAT!!!!!....Are you sure?
Harsh:Haan chaho tum khud dekh lo.Par tum achanak itne chaunk kaise gaye.
(Akshay page palat kar check karta hai)
Akshay:Jaante ho ye Camerlengo kaun hai? Ye unn 3 pramukh CARDINALS MEIN SE EK HAIN! Agar inhe kuch hua to pure shahar mein tabahi aa jayegi..tabahi.
Harsh:Par kisi ek aadmi ke marne se….
Akshay:(Beech mein rokte hue)Tum samajh nahi rahe.Vatican-CIty ke log cardinals ko devta ka d0ot maante hain aur Pope ko do duniyaon ke beech ka messenger.Agar unhe kuch hua to pure shaher mein dange,maar-peet aur pata nahi kya kya shuruho jayenge.Aur iss katl ka prabhav sirf Vatican-CIty tak hi seemit nahi rahega balki unn sabhi jagahon par parega jahan isayi dharm bhaari matra mein rehti hai.
Harsh:Tab to sthiti vakai bahut gambhir hai
Harsh:(watch dekh kar)Baaton-baaton mein samay ka pata hi nahi chala.(uthte hue chair se)Hamein kuch karna parega Akshay.Hum haath pe haath dhare nahi reh sakte hai.
Akshay:Sahi kaha.Par abhi filhal hum kuch kar bhi nahi sakte.Ek baar Forensics ka report aa jaye to hi kuch kiya jaa sakta hai.Hame kal ka intezar karna parega.
Harsh:Hummm!(hami bharte hue)Theek hai,ab main chalta hoon.Kal milenge.
Akshay:Ye lo mera visiting card.Kal headquarters mein milenge.Tab tak tumhaare liye permission bhi request kar ke rakhunga.
(Fir dono dusri or chale jaate hain iss baat se bilkul bekhabar ki unn par do aankhe gari hui thi.)
Anjaan Admi:(Phone ke kuch buttons dabata hai)Ve dono sabh kuch jaan chuke hain.Ab shayad raasta mushkil ho gaya hai.
Dusri or se:Mere paas hai ek raasta hai.Unn par kari nazar rakhna.
Scene--------5
Date:15December2012 Time:10:00AM
Place:swiss-guards Headquarters
(Kaafi chahel-pahel hai.Sabhi log apne kaam mein busy hai.Harsh pravesh karta hai.)
Akshay:Main tumhaarahi intezar kar raha tha.Tumhaara special permission bhi approved hogaya.
(Tabhi Fabio aata hai)
Fabio:Doctor Marco ki report aa gayi hai Akshay.
(Dono Fabio ke saath Labs mein pahunchte hai.Akshay sabka introduction karata hai.)
Place:Forensic Lab
(Charo or ek se barhkar ek instruments rakhe hue hain.Left mein ek bara sa table hai jahan par Microscope aur kuch test-tubes rakhe hue hain.Ek middle aged aadmi kuch experiment kar raha hai.Teeno ko dekh kar vo test-tube rakh kar unke paas pahunchta hai)
Akshay:Ye hai Doctor Marco,Forensic Head (doctor ke taraf ishaara karke)aur ye hai mera dost Harsh.
Marco:(muskura ke)Nice meeting you!
Harsh:Same here(hand shakes)
Fabio:So doctor kya-kya pata chala hai uss aurat ke bare mein.
Marco:Sabse pehli baat ki kaatil bahut shatir hai aur koi suraag nahi chor raha hai.Jo suraag mile bhi hain vo bhi fullproof nahi hai.
Akshay:Matlab?
Harsh:Matlab ki sabut katil tak pahunchane ke liye paryapt nahi hai.Am I right Doc?
Marco:Absolutely! Iska bhi katl usi tarah ke dhaar-dhar hathiyar se hua hai jaise pichle waale I mean waali ka hua.Aur iske hathon aur sharer pa vaise hi ajeeb se nishan hai.
Akshay:Anything more?
Marco:Patience Boy patience.(Lab mein thora door chalkar table ke paas pahunchta hai.Fir kuch photos uthata hai.)
Marco:Ye dekho footprints jo team ko lash ke aaspas mile.Mujhe shak hai ki ye jaroor katil ke honge kyunki ye kaafi taaze nishan the.(Photos teeno ko thamata hai.)Maine jab iss par lagi mitti ka analysis kiya to ye contents mile(ek page thamata hai Harsh ko)
Harsh:(paper parhte hue)Calcium Carbonate 46.87%,methyl benzanoate 20.01%,ethanamine 25%,Neonic salts 7%,ceramic tartarate 1.22%.
Marco:(Harsh se)Tum bhi forensics mein hi ho na.Bata sakte ho ki ye sample kis jagah se ho sakta hai?
Harsh:Sample mein calcium salt ki tadad jyada hai.Matlab koi aisi jagah jahan par bahut saari murtiyan rakhi hui hai.Or ye kuch organic salts hai kummatra mein….(kuch der soch kar)koi aisi jagah jo jameen se kaafi neeche ho.
Marco:Bingo!
Akshay:Par aisi jagah kahan ho sakti hai?
Fabio:Pure Vatican-CIty mein sirf aisi ek hi jagah hai.NECROPOLIS! Ya mritakon ki nagri.LAND OF DEAD
Harsh:Naam to kisi horror movie se kum nahi hai.
Akshay:Ho bhi kyun na! Jahan tak maine suna hai vo murtiyan kankalon ki hai.16 shatabdi mein bani thi ye.
(Tabhi ek swiss guard vahan par daure daure pahunchta hai.)
Swiss Guard:(hanfte hue)Sir!...Sir!....T.V…news!
Marco:News? Kya hua?
(Charon aur swiss guard dusre kamre mein jaate hai jahan par pehle se hi kuch aur swiss-guards rehte hain.)
TV Reporter:Aaj subah ke 7:30 baje Hotel Palace,New Jersey mein ek tourist ka behrahmi se katl kar diya gaya.Aadmi ka naam Dante Andreas bataya jaa raha hai.Kaha ye bhi jaa raha hai ki iss hatya ke taar unn do hatyaon se jure hai jo Vatican-CIty mein hue hai.Shareer par bhi unhi lashon ki tarah ajeeb nishan bhi mile hai.Police abhi kuch bhi kehne se inkar kar rahi hai.Aap dekh rahe FOX News.
(Harsh ko to jaise kaato to khoon nahi.Vo chair par baith jaata hai.Akshay ko bhi vishwas nahi ho raha tha.)
Akshay:(Harsh se,ghabraye hue)Ye…ye…kaise ho gaya? Iski hatya kaiseho gayi?
Marco:(chaunk kar)Kya..kya hua? Tum itne ghabra kyun gaye.
Harsh:(ghabraye hue tone mein)Ye to namumkin hai.Iska katl to nahi hona chahiye tha.Kitab kabhi galat nahi ho sakti.
Fabio:Tum dono aakhir bataoge ki majra kya hai? Baat to asie kar rahe ho ki tum logo kopata hai ki kab aur kahan khoon hone waale hai?Tum hame puri baat saaf-saaf batao.
(Harsh Akshay ko ishaara karta hai dusre swiss-guards ko cabin se baahar jaane ko.Fir vo dono ko puri baat samjha deta hai.)
Marco:(lambi saans lekar)Ye to achi kahaani hai.
Fabio:Baat hajam nhi hui tumhaari.
Akshay:Yahi sach hai.Nahi hota to khud dekh lo.(Cupboard se Bible nikalta hai.Vatican-CIty mein pata nahi aisi kya parampara si hai ki har organization mein dharmik granth rehti hai.Fir vo dono ko bible ke panno mein ve saare naam dikhata hai jinka katl ho chuka tha.)
Marco:Na Chah kar bhi pata nahi mujhe ab iss par vishwas karna par raha hai.
Fabio:Agar aisa hai to fir hame cardinal ki security dooguni ya fir chauguni kar deni chahiye.Dusri baat---iss cult ordeali ka network shayad pure world me faila hua hai.Kaatil ek hi aadmi ho nahi sakta.Raato raat koi Vatican-CIty se America pahunch nahi sakta.
Akshay:Par usse pehle ye samajhna jaruri hai ki America mein ye katl kyun hua?(Harsh se)kahin aisa to nahi ki katil Cardinal ke baad waale aadmiyon ko maarne pe jut gaya hai.After all use sirf 8 aadmi hi to marne hai 12 mein se.
Harsh:No its not possible yaar.Sabhi bagon ko ussi order mein maarna hai jaisi bible mein diya hua hai.
Fabio:To fir Bible galat hai kya?
(Tabhi peeche se aawaz aati hai.)
Aawaaz:Bible galat nahi hai.Main jaanti hoon iss katl ka raaz.
(Sabhi log piche murte hai.Piche ek larki yahi koi 25-26 years ki larki khari hai.Vo casual uniform mein hai.Upar se ek coat bhi pehne hue hai.Uske piche kuch swiss-guards lage hue hain.)
Swiss Guard:Sorry sir,isne aapko disturb kiya.(pakar kar use jabardasti baahar le jaane ki koshish karta hai)
Larki:Mujhe pata hai kyun New jersey mein vo katl hua.Mujhe bas do minute ka vakt dijiye.
Harsh:(swiss-guards se)Ruko!(rukta hai)Chor do use,(swiss-guardsusechorkar chale jaate hain)
Larki:(apne kapre theek karte hue)Hye! mera naam Petra Veronica hai,Harvard University mein Symboligist.
Akshay:To tum bata rahi thi ki tumhe pata hai ki hatyaein kyun hui?
Petra:Aisa isliye hua kyunki aaj ke Bible mein 2 chapters missing hain.
Harsh:(chaunk kar)Ye kaise possible ho sakta hai.Saare page numbers to hain.
Petra:Middle 17 century mein do chapters ko replace kar diya gaya tha kyunki unn chapters mein ordeali principles ka ullayekh ya description tha.Dharmguruyon ko uss samay laga ki samaj ke liye ye principles janana jaruri nahi hai kyunki ve kaafi hinsak the.Isliye unn dono chapters ko hata kar uske badleThe Revelations 1 and 2 laga diya gaya.Kuch dharmguruyon ne to iska virodh bhi kiya par ant mein unhe haar manana para.
Fabio:Jin dharmguruyon ne iska virodh kiya hoga ve jarur ordeali the.
Akshay:Par ek baat meri samajh mein nahi aayi ki uss samay jo Bibles aam logo ke paas hua karte the usme to….
Petra:Uss samay Bible aksar dharmguruyon ke paas rehte the.High class aur society jaise raja ya fir clergy ke paas hi Bible rehte the.
Harsh:To agar aisa hai to hame vo baaki naam sirf aur sirf Vatican-CIty ke archives se hi mil sakte hain.Kyunki jahan tak mera anuman hai uss Bible mein ve dono chapters honge.
Akshay:Agar hame archives mein jaane ki izazat milegi todirect unn namo ki list hi nahi mil jayegi jo uss bible mein hai.
Harsh:Ye baat to mere dimaag se nikal hi gayi.To fir hame Archives jaane ke liye permission leni hogi Pope se.
Fabio:(Beech mein bolte hue)Par hum Necropolis vale sabuton ko bhi nazar-andaz nahi kar sakte.Agar humne jaldi nahi kiya to shayad katil vahan se bhag sakta hai.
Akshay:He is right Harsh.Hume vahan par bhi dekhna hoga.(kuch der soch kar)Tum aur Petra Pope se milne jao,main aur Fabio Necroplois ki raakh chante hain.(Coat ke Pocket se kuch nikal kar)Ye lo Harsh.Iske bina tumhe Papel Palace mein ghusne ki izazat nahi milegi.(Fir ek card,jispar Vatican-CIty ka logo aur kuch nishaan bane hue hai,Harsh ko thama deta hai)
Marco:Good idea.Tab tak main lash se kuch aur ugalwaane ka prayas karta hoon.
(Pancho Headquarters se nikal do groups mein alag-alag black cars mein baith apne gantavya kior ravana hote hain.)
Scene--------6
Date:15Dec2012 Time:2:05PM
Place:Necropolis,Vatican-CIty
(Necropolis ke muhane par do kaali car aakar rukti hai.Pehle se Akshay aur Fabio nikalte hain.Dusre se kuch swiss-guards.)
Akshay:Hum dono ko akele hi jaana hoga,raasta bahut hi sankara hai.
Fabio:Sahi kaha.(swiss-guards se)Tum log baahar intezar karo.Kisi ko bhi andar jaane nahi dena.
(Fir dono gari se ek-ek walki-talkie aur torch nikalta hai.Saath mein .2 black range gun bhi.Jald hi dono Necropolis ke andar pahunchte hain.Ve dheere-dheere aage barhte hain.)
Akshay:(cobwebs ko hatate hue).Ye murtiyaan kaafi daravani lag rahi hain.Lagta hai yahan par saalon se koi nahi aaya hai
Fabio:(cheenkte hue)Yahan ki surange bahut hi ghumaudar aur pracheen hain.Hamesha khone ka darr laga rehta hai.
(Tabhi piche se kisi ke chalne ki aawaz aati hai.Ek jhatkeke saath dono piche murte hain aur torch ki roshni maarte hain)
Akshay:(thora relax ho kar)Oh!!....Chuha(mouse)…Aage barhte hain.
(Dono kaafi door jaate hain aur kai galiyon aur sankare raaston se ho kar gujarte hain.Kisi bhi insaan ka namonishan nahi milta hai.30-45minutes baad ve kisi chote hall mein pahunchte hain.)
Fabio:(Gun ko vapas case mein rakhte hue)Lagta hain yahan parkoi nahi tha ya fir hai.Humgalat jagah par aa gaye hain.
Akshay:(use kuch dikhta hai.Thora aage barhta hai aur jhukta hai)Nahi yahapar koi tha.Ye dekho(ishara karke)Jali hui agarbattiyan aur kuch machis ki tilliyan.(Fabio uske paas pahunchta hai)Jo koi bhi tha vo harbari mein nikala hai yahan se.
(Tabhi achanak tez visfot ki aawaz hoti hai.Ek ke baad ek kai visfot hote hain Harbara kar donokhare ho jaate hain.Jab visfot khatamhoneke baad kaane(ears)sunanae layak hoti hain to unhe dusra jhatka lagta hai.)
Akshay:Ye aawaz..ye aawaz kaisi hai.
Fabio:(ghabrakar)Ye aawaz…ye…NECROPOLIS tut rahi hai.Yahan se jaldi nikalo.
(Dono tezi se uss or bhagte hain jahan se ve log aaye the.Par upar seekbaara pathar raasta ko block kar deta hai.Fir dono piche murkar dusri or bhagte hain.Upar se pathar aur malbe girte rehte hain.Dono ek dusre surang mein ghuste hain.Surang kaafi sankara hai.Dono kisi tarah bhagte bhagte aage barhte hain.Upar se lagatar malbe gir rahe hain aur side se bhi angels aur demons ki murtiyaan gir rahi hain.Tabhi vo do surango ke muhane par aakar rukte hain.)
Akshay :(ishara karke )Uss taraf.
(Dono dusre surang mein ghuste hain.Achanak unhe saamne raushni dikhayi deti hai.)
Fabio:Vahan dekho,raushni…yaani vahan se nikalne ka koi raasta jaroor hoga.
(Bina kuch soche-samjhe Fabio aage daurta hai.Uska pair galat jagah par parta hai aur uske pairon ke niche se zameen khisak jaati hai.Vo tezi se niche khayi mein girne lagta hai.Par uske jhatpatate hath ek deewar ko pakar lete hain jisme kuch cracks hain.)
Fabio:(chillakar)Mujhe yahan se baahar nikalo…main jyada der tak pakar nahi paunga.
Akshay:(chillakar aur ghabraye hue tone mein)Ruko main kuch karta hoon.(idhar-udhar dekhta hai)Kya karun…kya karu…(koi idea aata hai)Haan ye theek rahega.
(Vo apna belt kholta hai aur belt ke ek chor ko Fabio ki taraf fenkta hai.)
Akshay:Ise pakar kar upar aane ki koshis karo.
Fabio:(hath barhakar pakarne ki koshish karta hai).Belt choti par rahi hai.Mera haath nahi pahunch raha.
(Akshay apna coat utarta hai aur use apne chor waale belt se bandh deta hai.Kuch aur ganthe bhi laga deta hai.)
Akshay:(chillakar)Ab koshis karo.
(Fabio ant mein belt pakar leta hai.Aur fir Akshay use upar kheenctha hai.Thori der mein kaafi mehnat ke baad Fabio upar aa jaata hai.)
Fabio:Aaj to main baal-baal bacha.(use kuch mamuli wounds aaye jisme se mamuli khoon beh raha tha.)
Akshay:Jaldi yahan se nikalna hoga.
(Tabhi Fabio ki nazar upar parti hai.)
Fabio:(chillakar)Bacho!(Akshay ko dhakel deta hai.)
(Par der ho chuki thi.Upar se girta ek malba Akshay ko ragarte hue nikal jaata hai.Akshay ke sir se khoon nikalne lagta hai.Uske aankho ke saamne andhera chane lagta hai.Akshay behosh ho jaata hai.)
Rating - 58/100
--------X---------X-------X--------X-------X---------
*) - A Chudail's Love story
(Mohit Sharma)
Dharti ki taraf badhte hue 2 Yamdoot apne
bhavishya ko lekar gehan vartalap kar rahe the.
Yamdootar - “Teri duty bhi Tadapur
lagi hai, gaya beta tu. Ab overtime karta firiyo….tere tabadle ki khabar sunkar
jis Apsara se tera rishta tay hua tha uske parents bhi ab uski shaadi Mr.
Yamdoot 2013 se karva denge.
Waise, yaar ek baat samajh nahi aayi,
finals mey to tu bhi pahuncha tha aur tere bhi dole uski takkar ke hai phir
kaise haar gaya tu…Mr. Yamdoot ka muqabla….”
Yamdootesh - “Haan! Mai bhi Mr.
Yamdoot ban sakta tha. Judges k anusaar to muqabla barabari ka tha phir Tie
Breaker mey hum dono ki muchhon ki motai naapi gayi jisme mai aadha se bhi kum
millimeter se haar gaya…bilkul photo finish type decision tha. And No way!! Mujhe
overtime nahi karna. Waise aesa kya hai Tadapur mey?”
Yamdootar - “Har state mey jaise apni
High Court hoti hai waise hi har rajya mey Dev Yamraj ne ek City aur uske
aas-paas k gaon-dehat aesi atript aatmaon ko allot kar rakhe hai jo kisi bhi
wajah se Yamdoot k saath swarg ya nark nahi jaa sakti. Tadapur mey Bharat ki
sabse zyada atript aatmaon ka vaas hai. Bagal mey hi doosre rajya ka gadh Cheemapur sthit hai par wo shaant ilaka hai.”
Yamdootesh - “Haan to kya hua? Mai ek
Certified Yamdoot hun, mai aesi tatpunji aatmao se nahi darta…”
Yamdootar - “Bhai, unse cooperate
karke chaliyo, ek to wo atript bhoot log hai unhe chunne se kate rehte hai kuch
na kuch karne ke. Din mey 2-4 galat kaam karne ki mismisi chhuti rehti hai unme.
Sangathit rehne se unki shakti badh gayi hai, wo apne aage kuch nahi dekhte
aadmi ho ya yamdoot seedhe baja dete hai joot hi joot.
Jab humari complaints par Dev Yamraj
ka bheja koi senior Adhikari inspection k liye aata hai to ye sab bilkul Shone
Babu se ban jaate hai, jaise deen duniya ka kuch pata hi nahi, un adhikariyon ke
jaane k baad waapas Dhaki-chiki Dhaki-chiki Dhaki-chiki Aau.…humari deadline
aur targets miss karvate rehte hai ye Shaitaan ke pille.”
Yamdootesh ka Tadapur mey aagman
sukhad nahi hua tha. Dharti par aakar unhe pata chala ki jin 2 Netao ki aatmao
ko wo nark le jaane aaye the unko lekar aatmao ki 2 communities mey Gang-war chhida
hua hai. Jahan Pappu Pret Gang un Netao k nark jaane se pehle unhe pratadna
dena chahta tha wahin Sweety Chudail Gang unhe chhupaye hue tha kyoki un 2
netao ne apne ek khaali farm house ko Sweety Chudail k naam kar diya tha. Pappu
Pret apne samarthak Preton k bade dal k saath Sweety Chudail Gang Colony k
bahar Bhompu lekar pahuncha.
Pappu Pret - “Yo Sweety! This is not
done. Hum Pret-Chudail log padosi hai aur saath bhatakte hai in 2 netao ki to
waise bhi nark mey bhat pitni hai us se pehle inhone hum pret logo k saath jo
gunah kiye hai uske liye inhe 2-4 din rakh kar agar thoda sa khel le hum Pret
jan to kya burai hai….aur Naspitti tu badi zubaan ki pakki ban rahi hai, le
liya na Farm House inse ab dafa kar inhe. ”
Sweety – “Farm House itna bada hai,
mai ek Chudail only space chahti thi jiske liye wo farm house ekdum perfect
hai. Ye Neta kisi Aghori ko set karke aaye hai agar inke nark jaane tak inko
bachaya nahi to har doosri jagah ki tarah wo Farm House Babban Bhoot Gang
hathiya lega, Bhooton ki majority ka faayda utha kar. Wo risk mai nahi le
sakti….”
Pappu Pret – “Lagta hai ab Yuddh ka
samay aa gaya hai. Mai shapath leta hun ki jab tak un dono Neta Aatmao k dhar k
joot nahi bajaunga aur saath mey har Chudail ki chuttiya nahi fhaad dunga, eye brow nahi noch
lunga..tab tak chain se nahi bhatakunga….Preton! Phatt de Chadde…Oh! Sorry…Chak
de Phatte!!!”
Sweety Chudail kisi wajah se chup thi
aur ek boring Test Ballebaaz ki tarah baaton aur Chill Poo mey Preton ka time
nikal rahi thi.
Ye nazara thodi door se dono Yamdoot
aur nishpaksh Babban Bhoot Gang k members dekh rahe the.
Yamdootesh – “Oh no! Aese to hum un 2
Netao ko le jaane mey late ho jaayenge aur agar Sweety Chudail ne yuddh ka
elaan kar diya to yahan arajakta faail jaayegi. Mujhe unhe rokna hoga….”
“Lagta hai yahan naye aaye ho…Tadapur
mey late hone ki aadat daal lo!”
Yamdootesh – “Aapki taareef?”
“Bada jigra hai re….Babban Bhoot ki
taareef puchhne waalo ki tashreef kaat di jaati hai. Par teri himmat se hum
khush huey. Aa baith…arre baith jaa, abhi nahi lad rahe ye dono gangs. Sweety
Gang ki Chudailen paas k kasbe mey Ladies Sangeet mey gayi hui hai, aane mey
thoda time lagega. Nahi to abhi tak ho gaya hota inka Commonwealth. Arre
Sharma! Iske liye Bhaang ki pakodiyan aur Dhature ka juice lekar aao…”
Yamdootesh – “Mai nasha nahi karta.”
Babban Bhoot – “Arre ek jaam to
dushman k saath bhi lagaya jaata hai Darling…”
Yamdootesh – “NAHI !!! Mere kuch
usool hai…”
Babban Bhoot – “O Kaka ji! Ye
Aadarshvaad ki peepni kahin aur bajaiyo….Natthu! Shake the Babla!”
Babban k ek ishare par Bhooton ki
toli ne Yamdootesh ko zabardasti Dhature ka Juice pilaya, Bhaang ki pakodiyan
khilayi aur smack ke injections lagaye.
Babban Bhoot – “Haaye thandak si mil
gayi ! Sachche, Saaf Dil logo ke usool, aadarsh, pratigya tudvaane ka jo maza
hai na wo Eucalyptus par ulta latakne mey bhi nahi hai. Yamdootar samjhao apne
dost ko…agar ye beech mey padkar unki ladai rukva dega to unke gang kamzor
kaise honge? Inki aapas ki ladai mey 10-12 Pret-Chudail ki punchh kate, 2-4
Apahij hon tab hi to humara gang aur mazboot hoga. Nothing personal, you see politics
hai hi aesi cheez.”
Yamdootesh ne nishchit Pret-Chudail
yudh ko rokne k liye Dev Yamraj k khaas Sahayak Dev ko emergency call lagayi jo turant apne Yamdooto ki toli
ko lekar haazir ho gaye. Aese signals har aatma ko dikh jaate the aur hamesha
ki tarah sthiti bhaamp kar sabhi atript aatmayen ‘shona babu’ mode mey aa gayi.
Nazara dekh Sahayak Dev Yamdootesh par baras pade.
“Mujhe aapse aesi apeksha nahi thi
Yamdootesh! Dekho kitne bhole bhoot, pyaare pret aur cute chudail hai ye sab.
Mai to kehta hun ki Mrityulok mey pure innocence kahin hai to wo…..Yahin hai!
Yahin hai! Yahin hai!
Masoom, nireeh aatmaon ko pata nahi
kyu yahan niyukt hue Yamdoot yun hi badnaam karte hai. Abhi mai in 2 netao ko
nark le jaata hun par aage se bina kaaran humey yun bulaya gaya to aap ghor
dand aur shaap k bhaagi banenge. Ab hum chalte hai. Bam Bam Bholey!”
Pappu Pret – “Sampail aur Pampail.
Jaiye aap log escort kijiye Sahayak Dev ki toli ko. Aajkal zamana bahut kharab
hai.” *winks*
Pappu Pret ka ishara samajh Preton ki
toli se Pampail Pret aur Sampail Pret, Sahayak Dev k kaafile se sat gaye aur
poore raaste bhar Yamlok k dwaar tak dono netao ko saavdhani se rath ki aad
lekar ghunse, laat pelte chale gaye.
Idhar Sweety aur Yamdootesh k naina
char ho gaye the.
Babban Bhoot – “Yaar! Yamdootar le
jaa isko, mai tere dost k ghusand hi ghusand bajaye chala jaunga. Abhi apne
senior se daant khaayi hai par sudhra nahi….gandi soch!”
Yamdootesh ko beech mey dakhl dene ki
penalty k roop mey usko allot hua quarter Bhooton ko dena pada aur wo Yamdootar
k quarter mey shift ho gaya.
Ab wo apna kaam anmane tareeke se
karne laga aur udaas rehne laga. Sweety se bhi Yamdootesh k affair ki khabar
har taraf thi jis baat se Babban Bhoot, Pappu Pret naraaz the. Ek din wo
Yamdootar ko bina bataye vacation par chala gaya. Apne dost k liye Yamdootar ne
overtime kiya aur seniors ko bhanak nahi lagne di kuch din. Aakhirkaar,
Yamdootesh kaam par lauta par wo kahan gaya tha ye nahi bataya.
Sweety bhi Yamdootesh k waapas aane
se khush thi. Ab wo dono chhup-chhup kar milne lage. Ek din aese hi Sweety ki
godi mein Yamdootesh sar rakh kar leta tha.
Sweety – “….Ye devlok ka fabric kitna
smooth hai, mere liye bhi mangwa do thoda. Tumpar purple dhoti suit karti hai,
skin tone k according bahut dashing lagte ho usme. Aur please jab kisi aatma ko
pakda karo le jaane k liye, to Gada side mey mat daba kar chala karo awkward
lagta hai jaise koi Cricketer out hokar jaa raha ho.”
Yamdootesh – “Alright Janu! jaisa tum
kaho. Kitni care karti ho tum meri. Thanks! You know what mai waapas kyu
aaya….just because I feel poor when I don’t have your presence…”
Sweety – “Awwwww tumhari aawaz mey
Janu kitna cute lagta hai.…aur Please please please tumhari eye brows bahut
thick hai please threading karva liya karo kuch weeks mey, koi issue ho to mai
kar dungi. Don’t be conscious na…Aajkal ladke bhi karva lete hai.”
Idhar ek Tantrik Yoman Baba ne
Tadapur mey pravesh kiya jinka udeshya zyada se zyada aatmao ko mukti dilvana tha. Kai
aatmayen aesi thi jinko shaanti k liye manviy roop se kuch jatan karne padte
jaise koi apne ghar ke peeche naale ki zameen mey dhan gaad gaya tha apne parivaar
k liye par achanak maut se kisi priyjan ko bata nahi paaya, ya kisi ki beti ka
padosi k saath affair tha par ye pata chalte hi usko heart attack aa gaya aur
unka affair chalta raha, apne padosi aur beti ko saza dene k uske armaan dhare
reh gaye upar se jo baat sun kar usko heart attack hua wo uske marne k baad
jaari thi….aese hi kai aur adhuri bhautik baaton aatmao ko atript bana diya
tha.
Yoman Bana dheere dheere aese bhautik
kaamo ko niptane lage aur kuch samay baad adhiktar atript aatmao ke bhautik
bandhan toot gaye par ab bhi aatmao ki poorn mukti k liye unke gadh mey Amavas
k ratri pahar mey ek maha-hawan baaki tha. Kuch aatmao k case hopeless the unhe
kabhi mukti nahi mil sakti thi jaise kisi aatma ne kisi Raja ki poori kaum ko
khatm karne ki pratigya lit hi par baad mey pata chala ki us Raja ki 400 se
adhik anaitik santaane thi jinki apni kai santane ho chuki thi aura lag alag
disha mey kai peedhiyan chal padi thi. 1-2 logo ki baat hoti to pehle Aghori
reh chuke Yoman Baba khopche mey leke mundi marodne mey koi gurej na dikhate
par baat yahan hazaro lakho logo ki thi. Santosh ki baat ye thi ki aesi hopeless
aatmao ki sankhya kum hi thi. Yoman Baba k maha-yagya manshaon ki bhanak Bhooton, Preton
aur Chudailon ko ab tak lag chuki thi. Prabhavshaali netao ko darr tha ki itni
sankhya aatmao ka mukt ho jaana unke varchasva par prabhav daal sakta hai
isliye unhone Yoman Baba ko molest karte hue Tadapur se khaded diya.
Unhe ye bhi pata chala ki itne din jo
Yamdootesh gayab tha uska prayojan in Yoman Baba ko Tadapur laana tha. Yamdootesh
ki phir se haaziri hui sanyukt sabha mey.
Yamdootesh – “Haan, bulaya maine
Yoman Baba ko par mujhe laga tum logo ko shaanti milegi to us se khush hoge.
Nahi chahiye shaanti to koi baat nahi. Mujhe aur punish mat karo, mai ab tum
logo ki dincharya, ratricharya mey koi interfere nahi karunga. Jo marji aaye
karo…”
Idhar Yamdootesh scene se gayab ho
gaya aur usko Tadapur aur Cheemapur ki seema par sthit ekaant mey, No Man’s
Land….No Ghost’s Land mey dekha jaane laga. Ab Yamdootesh ka Sweety se milna
bhi bahut kum ho gaya. Yamdootar ne apne saathi par bilkul giveup kar diya tha.
Sweety ne ek din Yamdootesh ko ek
khoobsurat Soni Chudail ke saath hangout karte dekh liya. Sweety aur Yamdootesh
mey zabardast jhagda hua aur Sweety ruth kar chali gayi. Idhar Babban Bhoot aur
Pappu Pret ka dil bhi Soni Chudail par aa gaya. Cheemapur mey bhi 2-3 prabhavshaali
Bhoot, Pret pehle se hi Soni k deewane the. Pappu ne apne prabhav se Soni ko
pana chaha par ye divya niyam tha ki bina vivah k doosre rajya ki seema mey
pravesh nahi kiya jaa sakta, sirf No Ghost’s Land se koshish ki jaa sakti hai.
Yamdootesh k charm se jealous Pappu, Babban ne usey Soni k Swayamvar k liye challenge
kiya jo baat sun seema k doosri aur k bade Bhoot, Pret bhi aa gaye.
Soni k swayamvar k liye aagami amavas
ki raat yaani agli hi raat nirdharit ki gayi jisme shakti, charisma, dance, singing
gigs aadi pratiyogitaon mey dono rajyo k kuch Bhoot, Pret aur Yamdootesh mey
muqabla hona tha. Ye aayojan Tadapur aur Cheemapur ki seema par hona tha jisko
dekhne k liye dono taraf ki atript aatmao ki bheed lag gayi. Saathi Yamdootar ne
Yamdootesh ko chaitavni di ki agar wo Chudail se shaadi par ada raha to wo
high command shikayat kar usko suspend karva kar inhi atript aatmao ka ek saath
banva dega. Par Yamdootesh par koi asar nahi pada.
Muqable hote gaye aur har muqable mey
Yamdootesh jeetta raha. Idhar apne hero ko kisi aur ko pane k liye inti
intensity dikhate hue Sweety ka dil ro raha tha. Wo apna Chudail gang lekar wahan
se ud chali.
Yamdootar ne bhi apni shikayat darj ki jiska review Amavas mey adhik shaktishaali huyi duniya bhar mey aatmao ki shaitaniyon ki wajah se abhi pending tha aur karyavahi swaroop Sahayak Dev ko aane mey abhi kuch ghante lagne the.
Yamdootar ne bhi apni shikayat darj ki jiska review Amavas mey adhik shaktishaali huyi duniya bhar mey aatmao ki shaitaniyon ki wajah se abhi pending tha aur karyavahi swaroop Sahayak Dev ko aane mey abhi kuch ghante lagne the.
Yamdootesh – “Kyu be Babban, Pappu…badi
mismisi chhuti rehti hai, supporters ki bheed mey Vidhayako waala style maarte
ho, bheed ki aad mey to bade laat-ghunse chalate ho. Ab aao one on one….na tum
dono ki poonch kaat di to mera naam Yamdootesh nahi Kaddukesh.
Kaafi der tak chale muqablon mey
sabhi maamlo mey Yamdootesh ne bade margin se comprehensive victories darj ki.
Aakhir mey jab varmala dalne ki baat
aayi to Soni Chudail ne Cheemapur k ek Bhoot k gale mey varmala daali. Sab
achambhit the ye kya hua. Ye khabar Khabri Chudail ne Sweety ko di to wo bhi
kotuhal mey waapas venue par aa pahunchi.
Yamdootesh ne announcement kiya.
“Aaj Amavas ki raat jab aatmayen
sabse adhik shaktishaali hoti hai us din bhi apna poora zor laga kar Swayamvar
mai jeeta hun sirf apne prem se mili prerna ki wajah se par wo Swayamvar Soni k
liye nahi tha, mera Swayamvar to Sweety k liye tha.”
Peepal par ulti latki achambhit, avaak
Sweety dhadaam se zameen par giri.
“Ye sab ek natak tha jisme mere saath
Cheemapur ki achchhi aatmayen shaamil thi. Unse milkar mujhe pata chala ki atript
aatmayen hamesha huddangi ya bawaali nahi hoti balki achchh ibhi ho sakti hai
bas unke neta aur disha nirdesh karne waali badi aatmayen achchhi honi chahiye.
Soni ki pehle se hi shaadi ho chuki thi aur usne apne pati k gale mey hi
varmala daali. Sweety ko bhi maine ye plan late bataya. Ab jab mai aap sabko
sambodhit kar raha hun to bata dun ki Yoman Baba phir se Tadapur ki seema mey hawan kar
rahe hai aur mere mic par swaha bolte hi wo poorn aahuti denge jis se aapme se
adhiktar aatmao ko mukti mil jaayegi….. Yoman Baba Swaha!”
Isi k saath kai aatmayen aakash mey
vileen ho gayi. Bas kuch Bhoot, Pret Neta aur Sweety samet kuch Chudailen bach
gayi.
Babban Bhoot – “Par….humne to Tadapur mey jagah-jagah apne
guard Bhoot-Pret chhode the kisi aapatkaaleen baat k liye….”
Yamdootesh – “….wo beech mey uth k jo
Sweety Gang gaya tha wo kya ladies sangeet karne gaya tha? Kuch se to Yoman Baba khud
nipat liye aur kuch ko sula diya Sweety & Company ne. Aur Ab zara tameez
mey rehna 5-7 bache ho total usi style mey joot hi joot bajaunga jaise tum
kabhi bajate the.”
Yamdootesh ne Yoman Baba ko Babban
aur Pappu ko peetne, molest karne ka poora mauka diya. Phir unka dhanyavaad kar unko vida di. Inspection karne aaye Sahayak Dev eksaath itni aatmao ki mukti se
khush dikhe par unhe verify karna tha ki kya Yamdootesh ne kisi Chudail se
Shaadi ki hai.
Wo Tadapur mey bachi 4-5 Chudailon ki
neta Sweety se mukhatib hue.
“Kya Yamdootesh ka kisi sthaniye ya
videshi Chudail se chakkar chal raha hai? Kya wo aapki taraf aakarshit hote
hai?”
Sweety Chudail – “Aapko galat soochna
mili hai. Yamdootesh bahut hi kartavyaparayan Yamdoot hai. Itni aatmao ko
shaanti pahuchane ka poora shrey unhi ko jata hai. Kuch prabhavshaali Bhooton
ke dabaav mey wo sandesh aap tak gaye the. Waise bhi hum badsurat Chudailon ki
aesi kismet kahan jo hum unhe paa saken…”
Ye sun Yamdootesh bhavuk ho gaye.
Sahayak Dev samanya sthiti dekh
Yamdootar ko warning dekar chale gaye.
Sweety Chudail – “Prem karne se pehle
duniyadaari ki sudh nahi rehti aur jab duniyadaari ki sudh aati hai tab tak
prem ho chuka hota hai. Mujhe pehle hi pata tha ki humara milan nahi ho sakta par mai to pehle se hi atript hun isliye adhoori aankanshaon ki aadat hai Sweety ko. Tumhe door se
hi sahi prem karti rahungi….”
Uske baad anya rajyo ki tarah Tadapur
mey bhi vyavastha dharre par aayi aur wahan ki is doosri duniya mey bhi shaanti
aayi.
Rating - [67/100 + 5 Theme Bonus]
72/100
Result - Mohit Sharma wins the match and becomes finalist of Freelance Talents Championship. Rahul Ranjan is now up against Siddhant Shekhar for the Bronze Medal Match.
Judge - Mr. Gopal Raju (Author, Scientist & Astrologer)
No comments:
Post a Comment