Mr. Mehfooz Ali finished 13th in Freelance Talents Championship 2013-14 out of 311 Authors.
Match Listing
*) - Round 1 - Mehfooz Ali (Apeksha : 60/100) defeated Divyansh Gupta (Garv Hai Desh Par : 31/100)
*) - Round 2 - Mehfooz Ali (Ankahee : 47/100) defeated Aman Kumar (Maa ki Mamta : 44/100)
*) - Parallel League Qualifiers - Unchallenged (Qualifies for Round 3)
*) - Round 3 (Pre-Quarter Finals) - Rahul Ranjan (Talaash : 73/100) defeated Mehfooz Ali (Chaal : 67/100)
Average Score - 58/100
Best Score - 67/100
Biggest Victory - 29 Points
Experience
"sabse pehle aap sabhi members ko mera pyar bhara adaab..
mohit bhai ne kaha tha ki is pratiyogita ke baare me mera anubhav kya
raha,uspar ek detailed post alag se karna.wahi kar raha hu.
sabse
pehle to mohit sharma ko badhai dena chahta hu jinhone yeh pratiyogita
aayojit ki or me unka shukarguzaar bhi hoon ki unhone is nacheez ko is
layak samjha ki seedhe top 64 se shuruaat kara di..
about my entries
- jaha tak baat is contests me meri enntries ki hai to me ek baat kehna
chahunga,ab bhale hi aap usko maane ya na maane.lekin yeh sach hai ki
mene teeno entries jo yaha bheji wo sirf kuch hi ghanto me likhi
thi.doosre shabdo me kahu to mene unko mohit bhai ko bhejne se kuch hi
samay pehle likha tha.pehle round ke baad to mene mohit bhai se kaha bhi
tha ki me ab aage nahi khel paunga.lekin unhone mujhe walkover naa
karne ki salaah di or samjhaya ki jo bhi ho likhkar entry bhej do,aise
walkover mat karo.mene unki baat maani or apne busy schedule(ab me itna
bhi busy nahi hoon,wo to itteefaak ki baat hai ki jab yeh sab ho raha
tha to mere boss log bhi yaha aaye hue the,to is wajah se me kaam pe
zyada dhyan de raha tha warna ek to farzi chutti maar lene me koi harz
nahi samajhta hehe)se waqt nikalkar entries poori ki....
about other
members - doosre members me kai logo ke naam mene pehli baar sune lekin
zyadatar ko me pehle se janta tha.mene sabki entries ko enjoy
kiya(jiski padhi hehe)..halaki me poori entries nahi padh paya lekin
maximum entries ne mujhe prabhavit kiya..agar mujhe koi 1 naam lene ke
liye kahe to me kapil chandak g ka naam lunga..unki teeno kahaniyo me jo
touch tha wo kaabile tareef hai..sach kahu to mujhe unki kahaniya hi
sabse zyada pasand aayi..specially jo unke father par thi.mujhe bhi kuch
maheeno pehle aisa hi kuch feel hua tha.ab yeh mat samajhna ki mere
father ko kuch ho gaya.hehe..actually unki sehat pichle 1 saal se kafi
girti jaa rahi thi..jo bhi unko dekhta to unki kamzori ke bare me
kehta..phir ek din unke ek friend ne,jo ki doctor hai,unka blood sugar
level check karwaya..or usme unka sugar badha hua aaya..doctor ne kaha
ki diabetes ke karan kamzori thi..bas mujhe jab yeh baat pata chali to
khud pe bahut gussa aaya..bahut guilty feel kiya..jis father ne meri ek
cheenk par acchhe se acchha doctor khada kar diya me unki girti sehat
par samay se act nahi kar paya..kher,samay rehte pata chal gaya.ab
things ko sambhala ja sakta hai..
about worst entries - ab me yaha
kisika naam to nahi le sakta or na hi meri itni hesiyat hai ki kisi ko
keh saku ki falane ki kahani bekar thi..but kuch gini chuni(maximum 2 ya
3 or wo bhi first round ki) entries ko padhkar unka mann hi mann me
bahut mazaak banaya(kyunki or koi tha jo nahi jiske sath share
karta)..kher,ab ispe isse zyada or kuch nahi kahunga
about judging -
most of the cases me judging sahi hi lagi lekin 4-5 mauko par mujhe
laga ki jitne ank judges ne diye hain usse zyada dene chahiye the..isme
ek match youdhveer singh ka tha..mujhe laga ki unko jitne marks mile wo
isse kahi zyada deserve karte the but judge ka aisa vichar nahi tha..wo
to shukar hai ki wo match youdhveer g jeet gaye..kai entries unke
comparison me kharab bhi thi jinko unse kahi zyada number diye gaye..overall dekha jaaye to koi kharaab decision nahi hua..infact jis round
me me bahar hua mujhe usse bhi kuch shikayat nahi ki me waha jeetne wala
tha etc etc..haan yeh zaroor kahunga ki thoda number 4-5 or de sakte
the mujhe..kher,jo beet gayi so baat gayi. ek do mauke aaye jaha dispute hui but yeh sab aise aayojano ka hissa hai..kul milaakar mera experience badhiya raha..ek baar phir unka thanx karunga jinhone meri rachnao se manoranjan kiya
or meri lekhni ko saraha..unka bhi thanx jinhone nahi saraha,atleast
unhone padhi to sahi..hehe..judges ke suggestions ka bhi thanx....aage un kamiyon ko sudhara jaayega or achhe se accha likha jaayega..
thanx once again."
No comments:
Post a Comment