Friday, July 5, 2013

Saurab Mehra - Parallel League Rank # 10



Pyar aur Dosti

 (Saurab Mehra)

Ranked 10 out of 281 Entries.

Challenger # 4 in Freelance Talents Qualifiers

Ye kahani hai pyar aur dosti ki . Do best friends jinme se ek ko dusre se pyar hua aur wo pyar aur dosti ki kashmakash me aaj bhi hai

Kahani ki shuruat hoti hai ajinkya se. Ajinkya 24 saal ka ek mast-maula aur bahut hi befikra ladka hai, use pyar me vishwas nahi aur abhi tak single hai , facebook addicted hai aur ek achchi software company me kaam kar raha hai.Usne kabhi sapney me bhi nahi socha tha ki uski zindagi me pyar ki bahar aayegi aur uski zindagi ko hamesha ke liye badal ke rakh degi.

Aaiye aapko ajinkya ki zindagi me piche le chalta hu, baat hai class 2 ki. Ajinkya ki class me ek ladki padha karti thi jiska naam tha Charu. Bahut hi pyari si ladki, jiski muskurahat sabka mann bha leti thi aur wo harmonium bajane me expert thi. Uske saath school me rajan naam ka ek ladka baithta tha. Rajan aur Ajinkya me hamesha ladai hoti thi ki kaun Charu ke saath baithega, ek baar to ladai aisi ho gayi ki dono ke parents ko bulana pada tha. Charu aur Ajinkya class 2 aur 3 tak saath me pade. Fir Charu ke papa ka transfer ho gaya aur wo chali gayi. Charu Ajinkya ki pehli innocent crush thi.

Us samay na mobile tha na internet jisse dono contact me reh paate. Samay beet ta gaya aur Ajinkya bhi apni zindagi me busy ho gaya. Lekin Ajinkya ko Charu yaad thi aur use ye umeed thi ki wo Charu se kabhi na kabhi zarur milega.

Ab aate hai 2010 me. Ajinkya ek achche college me BE in CSE kar raha hai. Wo college ke 3rd year me hai aur uske achche dost bhi hai, abhi tak wo single hai halanki uski bahut crushes rahi hai. Istime me facebook ka craze bahut badh gaya tha aur orkut lagbhag khatm ho gaya tha. Ajinkya bhi facebook addicted tha. Usne Charu ko facebook pe khoja aur add kiya. Uski friend request accept ho gayi,uski khushi ka thikana na raha. Charu bilkul nahi badly thi, wahi bholi se surat,wahi pyari muskan. Pehle to Ajinkya ko ye convince karne me time laga ki Charu use jaanti hai. Ek baar jab Charu ko yaad aa gaya to usne Ajinkya ko pehchaan liya. Fir to dono me chatting shuru ho gayi. Ajinkya ko pata chala ki Charu MBBS kar rahi hai aur 2nd year me hai. Dono facebook pe chat karte the aur ek dusre ko dheere-dheere janne lage. Fir mobile numbers aapas me exchange kiye aur zyadatar watsapp pe hi baate karte the.Charu ka boyfriend tha aur wo us relationship me bahut khush thi. Dheere-dheere baate karte karte Charu aur Ajinkya ko ehsaas hua ki dono bahut hadh tak nature aur pasand me ek-jaise hi hai aur un dono ki dosti bhi aur gehri tatha majboot hoti gayi . Dono bahut achche dost ban gaye the.

2011 me Ajinkya bhi graduate ho gaya tha aur uski job bhi lag gayi thi. Wo apni zindagi me bahut khush tha. Naukri,dost , ghumna-firna ,mauj-masti. Uski zindagi bhi bahut achche se chal rahi thi .
2012 ke ant me Chaaru ne bhi 5 saal pure kiye aur apne college me wo top 10 ranking me aayi.
Lekin dono ko abhaas bhi nahi tha ki 2013 me kuch aisa hone wala hai jo un dono ki zindagi ko aapas me jod dega

2013 ki shuruat hi kuch aisi hui. January ke mahine me Charu ko bina bataye uski shaadi uske gharwalo ne tai kar di . Ladka use 7 saal bada tha par ek achchi post pe tha. Charu jab February me chutti me ghar gayi to uski engagement kar di gayi. Ye sab itna achanak hua ki use kuch samajh nahi aaya. Usne gharwalo ko pehle hi bata rakha tha ki uska boyfriend hai par fir bhi uski shaadi tai kar di gayi thi. Wo bechari bahut udaas thi.  Jab uske boyfriend ko uski shaadi ki baat pata chali to usne bhi Charu ka saath chod diya , use ekdum se baat karna chod diya. Charu ne us tak pahuchne ki bahut koshish ki par wo aisa vyavahar karne laga jaise wo Charu ko jaanta hi nahi, use bilkul nakarne laga . Charu andar se tut gayi hi , uski baat sunne wala koi nahi tha, sabhi usko bolte the ki yahi tumhara bhagya hai..ise apna lo , use koi samajh nahi raha tha
Idhar jab wo Ajinkya se baat karti thi to bahut roti thi, wo use kehti thi ki ek baar usse milne aa jaye. Ajinkya ka bhi dilpaseej gaya tha, wo Charu ko aisi halat me nahi dekh pa raha tha. Ajinkya ne apne office se 1 hafte ki chutti li aur Charu se milne gaya . Dono bahut excited the, aakhir 16 saal baad mil rahe the.
Aakhir wo din aa hi gaya. Dono mile aur bahut khush the, aisa lag hi nahi raha tha ki dono pehli baar mil rahe hai. Dono ghume aur Charu ki ek aur achchi dost se milne gaye. Ajinkya ne soch rakha tha is tour me wo Charu kokhush rakhega aur jo Charu chahegi wahi hoga. Charu apni dost Rajni se milke bahut khush thi . Ajinkya,Charu aur Rajni khub ghume aur bahut masti ki. Ajinkya aur rajni ne cake ke roop me Charu ko surprise diya ,wo bahut khush thi aur emotional ho gayi . Rajni se vida leke Ajinkya aur Charu wapas aaye. Idhar jis din Ajinkya ja raha tha us din bhi Charu ghumna chahati thi par Ajinkya Charu se uski dil ki baate janna chahta tha. Pehle Charu ne mana kar diya par wo apne aapko rok nahi paayi aur jo bhi dil me tha sab kuch keh diya aur bahut rone lagi. Ajinkya ka dil bhi rone laga, usne Charu ko sambhala aur dilasa diya. Charu khush thi aur usne Ajinkya ko kaha ki wo uska sabse achcha dost hai,kewal Ajinkya hi use suna aur samjha. Usne Ajinkya se ye bhi kaha ki wo Charu shaadi me aayega to Charu ko  lagaega ki uska koi apna hai. Ajinkya ne wada kiya aur  Charu ne rote hue Ajinkya ko vida kiya.

Idhar apne ghar aake Ajinkya bhi nahi reh paya aur bahut roya, wo pehli baar kisi ke liye itna roya tha  aur sirf pehli mulaqat me hi. Dono roz baate karte the aur dheere-dheere Ajinkya ko ehsaas hua ki use charu se pyar ho gaya hai. Wo sochta raha ki Charu ko bataye ya na bataye par ekdin usne himmat karke Charu ko bata hi diya. Charu ne uski baat suni aur Ajinkya ko isse dur rehne aur sambhalne ko kaha taaki Ajinkya ko aage dukh ka saamna na karna pade. Par Ajinkya ne to tai kar rakha tha ki wo nahi bhuelga.

 Aakhir use sachcha pyar hua tha, Is baat ne to uski zindagi hi badal di. Wo ab pehlse se zyada khush rehne laga, professional aur personal dono life me wo bahut tarakki karne laga. Par  kai baar use thoda ajeeb lagta tha.Wo jab bhi Charu ko uske mangetar ke saath sochta use ajeeb lagta. Use theek se neend bhi nahi aati thi. Usne socha tha ki ek baar dobara Charu se mile aur aamne-saamne baat ki jaye.

Wo  dobara Charu se mila. Wo bhi Ajinkya se milke bahut khush hui. Dono me lambi baatcheet hui. Ajinkya ne tai kiya ki wo usse baatcheet karta rahega aur zindagi me aage badhega.

Idhar Charu ki shaadi ka din nazdeek aa raha tha. Ajinkya ne apne office se chutti li aur uski shaadi me gaya. Charu ki shaadi me uske kewal do hi dost aaye the- Ajinkya aur Rajni. Charu bahut khush thi ki uske dono best friends uski shaadi me aaye. 3 din kaise beet gaye pata hi nahi chala.

Bidai ke din to sabse zyada buri haalat Ajinkya kit hi. Wo sabse zyada roya tha . Charu aur Ajinkya to ek dusre ko dilaasa dete hue bahut roye. Ajinkya ko aisa lag raha tha ki uski zindagi ka sabse zaruri hissa usse bahut dur ja raha hai. Aakhir usne bahut sahas ka kaam kiya tha. Duniya me wo jisse sabse zyada pyar karta tha uski hi shaadi me wo  gaya . Ajinkya ke liye Charu se uski dosti aur Charu ki khushi apne pyar se zyada zaruri hai.

Charu ki shaadi ho jaane ke baad bhi wo usse baat karta hai kyunki wo jaanta hai ki Charu ko kabhi dost ki zarurat padi to wo rahega, wo hameha bhagwan se uski khushi ki dua karta hai aur uske chehre pe muskaan dekhna chahta hai . Use abhi bhi bahut kashmakash hoti ahi dosti aur pyar ke beech me . Dil khehta hai ki dosti nibha par dimag kehta hai usse baat karn chod de. Ajinkya ne us pyar ko apni kamzori nahi taqat banaya. Usne Charu se jo kuch bhi seekha use zindagi me istemaal kiya aur wo shukraguzar hai Bhagwan ka ki Charu uski zindagi me aayi aur use pyar tatha dosti ka matlab samjha gayi.

Ajinkya is baat ko samajh chuka hai ki Charu ki shaadi ho chuki hai aur uske pyar ka koi parinaam nahi niklega. Usne Charu ke prati un bhavnao ko daba liya hai aur wo jaanta hai ki ye bahut mushqil kaam hai.
Par uske liye Charu ki khushi zyada zaruri hai aur wo nahi chahata ki Charu ki zindagi me uski wajah e koi pareshaani ho. Wo hamesha apni dosti nibhagea  aur Charu ki khushi chahta hai,chahe iske liye use Charu ki zindagi se use door hi kyu na jaana pade. Aaj samajhne ki baat ye hai ki Charu aur Ajinkya ne bahut hi samajhdari se kaam liya hai. Ajinkya pyar me devdas nahi bana balki usne sachchai ko apnaya aur zindagi me aage badh raha hai. Charu aur Ajinkya ke beech bahut achchi understanding hai aur dosti waisi hi sachchi aur gehri.

Charu bhi aaj apne ateet ko bhulakar apni shaadi ko nibha rahi hai saath hi saath dosti ka farz bhi ada kar rahi hai. Charu aur Ajinkya dono hi samajhte hai ki ab unki baatcheet pehle jaise nahi ho sakti  aur dono ye baat jaante hai ki unki baatcheet kam hi ho payegi . Par isse unki dosti me koi farak nahi padega aur wo dono hamesha  sabse achche dost rahenge

Rating - 76/100

No comments:

Post a Comment