*) - The curses of Indian society
1.Child marriage.
The curse which is the bane of Indian life is child marriage. Marriage is a sacred institution and the persons going in for matrimony should be of marriageable age and not that either the girl is married to an old men or she is married at an age when she does not understand what marriage is. We hear of this social evil prevalent in Rajasthan where girls are married off at an age when they do not understand what marriage is. Some of them become widows before they know that they had been married off...2. The dowry system.
Another curse is the dowry system. A man with a number of daughters is a cursed creature. Whatever he has is given away in marriages and he becomes a pauper. The dowry system has done a greatharm to the social growth of Indian life. A man with a number of daughters has to sell his property or money at a high rate of interest so that he might give a dowry to his daughter. In case he fails to do so his daughter has to
hear taunts and harassment to such an extent that the poor girl is forcedto end her life. Everyday we hear of the burning of young brides because of this harassment from their in lawsor husbands. The sooner this social evil is removed, the better it will be for all concerned.....A total war against these and a few
other curses like drinking and smoking is of utmost necessity. There is legislation against these curses but they can be effectively checked only if the people decide to check them.......
Thanks!
Judge Rating - 45/100
Comments - "good observation and reporting but lacks content, style is monotonous. the chosen topics by the author need details and citation"
*) - Parichay (Life of a lamp-coolie)
(# 34 - Siddharth Gupta)
Dada(cousin
bhaiya) ki baaraat kuch agey nikal gayi,mai jaldi jaldi chalrahi thi
uff teyar hone me hi kitna samay nikal gaya, fir socha mandir me ayi hun
to arti lekar chalti chalu
baraat jada door to nahi jayegi, woh dekho yahi to
khadi hai gate pe abhi tak,andhera ho chala tha ,baraat me rimjhim
rimjhim jhankiya alag hi chamak rahi thi,sath hi
band
walo ki awaaj ke kya kahne...dekha to sari bua aur chachi aise aise
chamak rahi thi jese unhi ki shadi ho,bharat me baraat ka jo maza hai
woh kisi aur desh me
kahan hosakta hai,pass hi band vaje baj rahe they
aur sare bhai aur chacha apne me mast they.. baraat ka dancing style to
pata hi hoga "lage jhoom ke nacho re" jo man
me aye woh karo..jaldi jaldi chalke ab thoda thak gayi thi baki logo se
thoda peeche theere theere hi chalu, varna kahi bhaiyo ne pakadliya to
aur dance karvayenge,
wese hi itne kaam se thak chuki hun...
peeche kuch aurte sada sadiyo me lights/lamps uthaye
chal rahi thi ,har baraat me mene inhe dekha hai par pahli baar peeche
peeche chalte chalte dimag inki ore bhi thoda akarshit hua,baraat me har
koi khush najar ata hai sab jhoom rahe hote hai aur band baje dhol vale
bhi bajate bajate masti me rahte hai par ise to dekho ,mera ishara
raghini ki ore tha baki sab aurto ke jese hi sada simple purani saree me
ek bhari se lamp ko uthaye hue jo agey badhti jarahi thi ,raat ho chali
thi kareeb 8 vaj rahe honge,jaha sabka man rang rangili mastiyo me
madhosh hai waha raghini soch rahi thi apne do baccho k baro me "mera
rohan kesa hoga,kal se bukhar hai aaj kuch paise milenge to uske liye
kuch dawai ajayegi socha tha 6 vaje ki baraat hai 8:30 tak to nipat hi
jayengi" samay 9 horaha tha,ye soch woh pahle se jada tez chalne lagi
agey ki taraf... marriage house wahi se najar araha tha, " bus kuch hi
kadam door hai " yahi soch use jaldi waha pahuchne ke liye utsa rahi
thi.. ki itne me peeche wali aurat ne bola "arey amma lamp girvayogi kya
mera ,lene k dene padjayenge mere ,naik thire chal-lo amma",bus raghini
ka man us soch se shant hua aur usne sabka bhala sochte apni gati
theemi karli,baraat gate pe ane wali thi bus sabko agey pahuchkar apna
lamp rakhna tha aur ghar ke liye ravana hona tha...tabhi chote chacha ne
jor ki awaaj lagayi ... "" AREY JALDI AGAYE BHAI SAHAB..THODA AUR BAJAO
RE" aur puri baraat wahi khadi rah gayi ,raghini ke liye ye koi nayi
baat nahi thi,use yakeen hogaya ki aaj fir 11 hi vajne hai ,rohan ke
bare me soch uski anhkon se kuch ansu gir pade jo uske chahre se girte
hue pasine me ghul gaye ki unhe alag se dekhpana mumkin na tha.. sari
aurtain waha khadi rahi shayad har kisi ke man me raghini jesi hi ek
kahani thi,
"Deedi ye lo kaaju ki barfi" ,dekha to mere bagal me
ek mithai bantne wali khadi thi, jo shayad ladki walo ki taraf se
baraat ko dekh agayi thi sabko mithai baatne,kaaju ki barfi ek silver
panni se packed,woh sabko baaten jarahi thi jo bhi baraat me
dikhe,raghini theere theere agey badh rahi thi,tabhi use kuch chamkili
cheej dikhi neeche dekhne pe use pata chala woh wohi packed kaju ki
barfi hai (jo shayad kuch naachte hue chacha,bhaiyo ke beech jate hue us
mithai wali se gir gaya hoga),raghini ab tak baraat ke beech agayi thi
aur use apna lamp rakhna tha,usne lamp rakhne ke bahane waha se mithai
uthali aur apne pallu me ghusa li,aur socha
"rohan ko me khub kahani sunati thi kaju,badaam ki
woh kya kahte hai unhe han deryfroots (dry fruits),aaj use kaaju ki ye
barfi khilaungi..mere der se ane par ro raha
hoga
thoda man bahal jayega,aur ispar laga ye badaam use alag se dungi to
khush hojayega,use bhi pata lagega kaisa swaad hota hai kaju ka aur
badaam ka,bachpan se
sirf inke bare suna hi hai usne "
kai
logo ne use kuch uthate hue dekhliya par puchne aur samjhne ka vakt
kisko hai ,aji dekho saamne marriage house agaya,aur baraat bus andar
jani hai,patakho ki ladiya choot pari,aur asmaan me rang birangi
atishbaaji bolo ye kahin aur dekhne ko milsakta hai kya,un rango ko dekh
rhagini bhi khush thi ki ab kuch hi minto me woh ghar ki ore ravana
hojayegi jaha uska rohan intzaar kar raha hai,itna hi socha tha ki tabhi
badi chachi ki chillane ki awaaj ayi aur unke charo ore bheed ikaatthi
hone lagi,
""MERA NECKLASE KAHA GAYA.....ABHI TO YAHI THA""
bheed me jese hangama sa hogaya sab ek dusre se baaton me itne vyast
hogaye jese bhul hi gaye ho ki baraat me
aye hai sab dhund rahe they kaha hai keemti necklase,tabhi bua boli
"Maine use kuch uthate dekha tha,kaha gayi woh light wali,mujhe usi par
shak hai",badi chachi
sunkar boli "YE LOG TO
HOTE HI CHORE HAI... ho na ho isine mera keemti necklase uthaya
hoga",bheed umar padi sabki najar rhagini ki ore thi and usse puchne
par
rhagini ne theemi awaaj me bus itna hi kaha
"memsaab ye necklate (necklase) kya hota hai ?" ,
maine bola "arey chandi sone ka haar ko bolte hai,aapne kahi dekha kya aunty?? "
par mere agey kuch bolne se pahle hi chachi
jhunjhula ke boli "arey isse sahanbuti mat rakh,sirf dekha hi nahi, isi
ne churaya bhi hai mene khud dekha hai,nikaal de
chupchaap varna acha nahi hoga" uski taraf ungli karte hue chachi boli
rhagini ke hosh ude hue they..pahle hi thaki hue
paseene me talbar,aur apne rohan ke liye chintit,usse kuch bola nahi
gaya bus aankh se aansu umar pade,chachi abhi
bhi
un sab aurto ke liye kadva kadva bole jarahi thi,aur talashi lene ke
liye bolrahi thi sabse.. akhir kyon hum log dekhte hai in logo ko
aise,jo itni mahnat se kama
rahe hai apne baccho ke liye,ek vakt ki roti ke
liye,kya itni mahnat karne wale bhi chore hote hai aur chachi ke liye
konsi badi baat hai woh 1 lakh ka haar,
kuch
chachi bua-on ne uski talashi leni chalu kari,jitne me uski pallu me
phasa woh mithai ka tukda gira aur logo ke pairo tale kuchal ke choora
hogaya,woh haar to
nahi mila,ulta chachi ke hilne pe khud hi milgaya jo
shayad naachte me unhi ke blouse me ja atka tha aur saadi se chup gaya
tha,par isme raghini ka kya dosh,uske liye
to
woh kaaju ki barfi hi us necklase se kayi jada keemti thi jo shayad
rohan ko aaj khane ko milti,meri nighayen us mithai wali ko dekh rahi
hai..idhar udhar hi
hogi,milti hai to usse 2-3 piece lekar rhagini ko deti hun ..
>>...THE END...<<
Judge Rating - 68/100
Comments - "fresh topic, unseen characters and marvelous execution dude weldone!!!"
Result - Siddharth Gupta defeats Arjun Rathore by 23 points.
Siddharth Gupta becomes the first writer to enter into top 32 and Arjun Rathor Goes to Parallel League where he will get one more chance to get into main league.
Judge for this Match - Mr. Mayank Sharma (Wrote for Raj Comics and few other publications, active since year 2002)
Judge for this Match - Mr. Mayank Sharma (Wrote for Raj Comics and few other publications, active since year 2002)
No comments:
Post a Comment