*) - Golden Temple
(# 17 Charanjot Singh)
Golden Temple is Sikhs’ shrine
Spiritual symbol denotes divine
Purity glimmers day and night
Gilded grandeur of sheer delight.
Feel the profound vibes in its compound
Walk bare feet on its path all around
Hymns sung in Ragas pluck heartstrings
Melodies soothe ears thus soul swings.
Spiritual symbol denotes divine
Purity glimmers day and night
Gilded grandeur of sheer delight.
Feel the profound vibes in its compound
Walk bare feet on its path all around
Hymns sung in Ragas pluck heartstrings
Melodies soothe ears thus soul swings.
Dip in and sip holy nectar from its legendry pond
Purify insight and build a sacred bond
Causeway leads to the distinctive feature
Bow to the “Guru’s Granth” ; invisible teacher.
Causeway leads to the distinctive feature
Bow to the “Guru’s Granth” ; invisible teacher.
At night when the hustle and bustle are asleep
The hush anchors the turbulence to the deep
Sit at the rim of the pool and submit your soul
Bathe in the moonlit vibes, revere and cajole.
Food is served to everyone free of charge
Rich and poor sit together and eat by and large
Nature has bestowed everything to this holy land
I’m blessed to be born in this city; so grand.
Rating - 52/100
Judge's Comment - Education and spiritual with superb rhyming.
Smay
ki kami ke rahte(koi excuse nahi hai,shabhi issase preshan hai) socha
kyon na ek report hi likh di jaye . Ye report apko kitani pasand aaygi
kha nahi sakta .Par main bhut hi sadharan Tarike se likhane ki kosish ki
hai, bade hi simple words aur vo batain jo shayd apko phale se hi pata
hai.Pdhakar luft utayiye aur han sikyat mat kijiyga ki ,apko to ye phale
se hi pata tha.
Ek
acchi report main bhut se tathya jutakar unhe bade hi ruchikar dhang se
parstut kiya jata hai ,isme kalpana ke liye koi sathan nahi rahta .Mari
ye report Bhartiya Samaj main Comics ke yogdaan ko lekar hai.
(# 44 - Ravi Yadav)
Bhartiya
Samaj main vaypt buraiyo ko dur karne main anek chijo ka apana-apana
yogdan raha hai ,comics bhi unme se ek hai.Shyad hi koi esa ho jo comics
se kabhi apane jivan main rubaru na hua ho.
Comics padhane
ki suruvat bachpan se hoti hai jayadatar 6-7 saal ki age main kyonki
issi umar main shahi dang se padhana aa jaata hai.bacche jab comics
phadhte hai to uname sarjan shakti ka vikas hota hai.yahi sarjan shakti
unko ek savccha evam sunder samaj ki rachana karne ki prerna deti hai
aur yahi se bacche ke mastiksh main sanskaro ke ankur foot te hai jo
uske jivan k saat bhadkar ek vishal varkh ban jaate hai.
Ek
comic mool rup se ek chitrakatha hooti hai yaani ki chitro k dawara
kahi jaane vaali katha, bacche k baal sulabh mastiksh evam maan dono par
in chitro ka bhut adhik parbhav padta hai .Vo apane dimag ke
page par man rupi pancil se apani kalpana ko nit naye roop dete hai.
Baad main jab vo bade hote hai to samaj main issi kalpana ko sakar kar
apane spano ko hakikat main badlte hai.
Unki
ye kalpana ,ye jighysha bachpan se kishor avastha main aate aate parbal
ho jati hai kyonki ab vo samaj se kisi n kisi roop main judane lagte
hai.ab unki ye kalpana sapno main badal jaati hai aur vo apane priy
patro ki nakal kar samaj ki burayio ko dur karne ki kosish karte
hai.Dusare sabdo main kaha jaye to vo bhut se acche karya bhi karte hain
jese dusro ki madad karana, apane se chooto ko kahaniyo ke madahyam se
acacchai k liye prerit karna itayadi.
Comics
padhane main ek sabse badi problem jo aati hai vo hai mata-pita ki
narajgi .unko lagta hai ki comics padhne se baccha padhyi main kamjoor
ho jayega.Jo mata –pita ye sochte hai ki unke bacche comics padhane se
padhai main picche rah jaate hai ye soch bilkul galat hai.mera ye viswas
hai ki jo bacche video game ya dusre khelo (main yahan ek
baat clear karana chahunga ki main physical games ki baat nahi kar raha
kyonki ye bacche ki sararik vardhi k liye avaysak hai) ki bajay comics
padhte hai unke marks jayda aate hai. Iska karan hai comics unhe padhane
k liye prerit karti hai aur unme bhut si pheliya hoti hai aur
prtiyogitayen bhi.
Ek naamcheen Comic Book House ki ek esi hi prtiyogita
“Brain Master”ka main yahan khaas tour se jikr karna chunga ,iss
prtiyogita k chalet bhut se comics reader ne first posisition parpt
karke samaj main apana avem apane mata-pita ka naam roshan kiya. Aur to
aur Apane priy patra k masals dekhkar bhut se comics reader apane sarir
ko vesa banate hai issase bhi ek sakhtisaali samaj ka nirman hota hai.
Kishor
avasta se ab bhadhte hai Yuaavastha ki aur yaha hum dekhte hai ki unka
comics prem ab tak joonun ban chukka hota hai. Aur iss baata se to sabhi
sahmat honge ki ek Yuva Samaj nirman main jitana yogdan de sakta hai
utana koi aur age-group nahi.
Comics
se mili har parkaar ki jankari,apani dradh icchashakhti aur apne super
hero ko role model mannkar vo samajik burayio par parhar karte hai aur
ant main unko khatam karke hi dum lete hai.Yahan main Political field ka
example dena chaunga mera ye manana hai ki non comics reader ki bajay
comics reader main political knowledge 40% jayda hoti hai(ye aap Social
networking sites par jakar Comics reader ki comment dekhkar hi jaan
jayenge) karan vahi unka supar hero bhi khani na kanhi
dushit rajniti ka sikar hua hota hai.yahi se suruvaat hoti hai unke
politic interest ki. Samaj aur poltics in dono ka chunki apas main bhut
hi gahara naata hai,aur aaj ke daur main samaj main vaypat iss dushit
rajniti ko dur karne ka beeda bhi in comics prami yuvo ne khoob utha
rakha hai.
Ab
sabse matva puran baat atti hai ki comics ko sab manoranjan ka saadhan
samajhte hai aur hindi cinema ko manoranjan ke khetra main sabse upar
sathan diya jata hail, lakin yahan bhi comics agge hai kyonki aaj k
cinema main jhan kai filme uddeshya vihin hoti hai,vahni koi bhi comics
udeshya vihin nahi ho sakati iska karan hai comics ke lekhak ki
sakartamak soch.
Comics lekhak samaj ke bare main jayda nahi sochkar
sirf apani kalpana ke adhar par ek savcha manorajan ke liye comics
likhta hai,use pata hota hai ki readers apnae aap comics padhkar uski
khani ke anusaar manorjan ke saath acchi shiksha graham kar ek sahi
disha main sochenge.Par theek iske viprit Cinema ki filmo main kai
burayiyo ke saath ,alag alag logo ki soch ko parde par utarkar,parchar
ka bhari bharkam choga phanakar,sitro ki chamak-dhamak ke saath,adhik se
adhik dan arjit karana mano inka ek trend ban gaya hai jo samaj main ek
shai sandesh lekar nahi jaata hai.
Aaj
comics reader ka ek poora varg aapas main saneh avem pyar ke saath
,miljulkar samaj ko sahi disha main le jane k liye apana yogdaan de raha
hai ..mujhe khushi hai ki main bhi uska ek hissa hun aur Aap
bhi…………..issi trah comics padhte rahiye aur ek sunder ,savcch Bhartiya
Samaj ke nirman main apana yogdaan dete rahiye…..
Comics Hai Hamara Junoon.
Rating - 55/100
Result - Ravi Yadav wins the match, Charanjot Singh goes to parallel league.
Judge - Soumya Sucharit Das (Author)
Judge - Soumya Sucharit Das (Author)
No comments:
Post a Comment