Tuesday, October 13, 2015

Round 1 - Team # 26 (Abhilash & Ashutosh)

SHIKAAR


Binni maa aaj apne bete ke liye bade pyaar se ek swetar bun rahi hai.vah pichle do dino se apne bacche ke liye ise taiyar kar rahi hai.isi samay gullu gilhari picche se daudta hua aata hai.Binni uski kadamo ki aahat pehchaan leti hai.uski hanfati saanso ki awaaz sun unhone usse iss jaldibazi ka karan puchhta.

         gullu ka jawaab sun binni  maa ki aankhein phail gayi.uske aankhon se aansu behne lage.uske  kaanpte hatho se abhi-abhi taiyar hua swetar chhut gaya.

         vah gullu ke pichhe piche daudh chali.raste bhar uske aansuo ne thamne ka naam nahi liya.uske bhagte kadam thamne lage.vah gullu ke sath vaha pahuch chuki hai jaha gullu use lana chahta tha.aas pass uske padosi jame khade huye the.monty mor,gullu ke papa,aur ek do  sathi....... sabhi ke sar jhuke hue aur palakein bhigi hui.

         binni unki bich me se hoti hui aayi to use apni aankhon par yakin naa hua.use abhi bhi yakin nahi aa raha tha ki gullu ne jo kuchh bhi use bataya vo sab sach tha.sabhi binni ke bete bunny ko ghere khade huye the.

        sabhi ki aankhon me aansu the.kyunki unn sabka chaheta bunny ab hamesha ke liye shant ho chuka tha.uski aankhein ab kabhi nahi khulni thi.ab uski maa ko uski shararatein dekhni nasib nahi honi thi.uski uchhalkood ab kisi ka mann nahi mohne waali thi.uske sharir ke baayi aor ek goli lagi hui thi,nisandeh vah kisi shikaari ke shouk ki bali chadh gaya tha.lekin shayad kisi tarah unke hath aane se bach gaya tha.aur apne antim samay me khud ko bachata ,chhupta-chhipata yaha tak laane me safal hogaya tha. varna aaj kisi ko bunny ko antim baar bhi dekhna bhi nasib nahi hota.

         binni maa ne rote huye uske sar ko apni god me le liya.uske shabdo me gussa tha lekin unme chhipa dard sabhi mehsus kar sakte the.ye shabd ek dukhiyari maa ke dil se nikale the.
         "duniya me sabse buddhimaan kahe jane wali insaan murkh hai jo sab jante hue bhi ye nahi samjhte ki jis tarah ve prakriti ka hissa hai usi tarah hum bhi hai.sirf apne maze ke liye prakriti ke sath khilwaad karne wale ye insaan nahi jaante ki ye hume khatm karne ke sath hi apne bhavishya ko dukhad bana rahe hai,jo dard aur bimario se bhara hoga .prakriti swayam unhe iski kadi sazaa degi."

----------------------------------------

Rating - 103/200 Points

Judge - Mr. Mayank Sharma

1 comment: