Saturday, June 15, 2013

Round 1 (Match # 15) - Mehfooz Ali vs. Divyansh Gupta

*) - APEKSHA
(# 15 - Mehfooz Ali)

mein kabhi soch bhi nahi sakta tha ki mere or pita g ke bare mein Sharma g aisi baat kahenge.bachpan se unko pita g ke sath gappe ladate or cigarette ke challon ke saath chai ki chuskiyaan lagate hue dekhta aa raha tha or aaj wahi Sharma g pita g ke bare mein itna ulta seedha kyun bol gaye.
isme bhi mera dosh tha..haan shayad mera hi dosh tha jo mein engineering ke liye iit or aiee ke exams pass nahi kar paya,agar mein aisa kar paata to aaj ka nazara hi kuch or hota.tab shayad yahi Sharma g pita g ki tareefon ke pul baandh rahe hote or mujhe kandho par utha lete..mujhe aaj bhi wo din yaad hain jab mene yeh nirnay liya tha ki mein iit ki tayyari ko poora samay dunga or isiliye graduation nahi karunga.

‘’thakraal,ladke mein baat hai.meri parkhi nazron mein yeh tabhi aa gaya tha jab 10wi mein 65% laya tha.ab itne number UP board me lana asan to hai nahi’’ Sharma g ne cigtrette ka ek tagda kash liya or thodi der tak dhuen ko apne fefdon mein felne diya.phir ek lambi saans ke saath usko bahar nikalte hue kaha “bhej de yaar isko”
Pita g ne meri or ek nazar daali or Sharma g se bole “par yaar tu to janta hi hai ki yeh institute wale padhane ke liye kitni ulti seedhi rakam maangte hain or phir oopar se paraya shaher,waha rukne ka kharcha alag”
“are agar aise sochega to kabhi dhang ka khana bhi nahi kha sakega tu,pata hai paneer kya bhaav ho gaya hai or seb kitne rupye kilo hain,pata hai kuch?.”Sharma g thoda ruke,ek or kash lagate hue bole “bhej de yaar”
“theek hai...tu kehta hai to bhej hi deta hoon.....par bittu” pita g ne meri or ajeeb si nazron se dekha “naak mat katwana”pita g ne wo faisla suna hi diya jisne mujhme ek anjani khushi ka sanchar kar diya.

Yeh mera ghar se bahar rehne ka pehla anubhav tha.hostel ka khana bhi shuruaati dinon mein hi theek mila or phir dheere dheere uske swad me bigaad aata chala gaya.kuch naye dost mile or kuch purane dost mere saath hi yaha aa gaye.pehle pahal padhai me khoob maza aaya.yahan ke teachers ke apne hi tareeke the padhane ke jo ki school ke tareeke se alag the.yaha sabkuch shortcut me chalta tha.or jo in methods ki taal se taal nahi mila pata tha uske liye iit mungerilal ke sapne ke samaan thi.

Har Sunday ko humlog jhund banakar market se apni zaroorat ki cheezen khareedne nikalte the or us din bahar hi khana khate.sab apne me magan rehte lekin padhai ke samay koi compromise nahi hota tha.ek baar jo padhne bethe to phir samay ka hosh hi nahi rehta. Is beech mera ghar ka chakkar bhi lagta rehta tha lekin uski seema sirf 1 din hi hoti thi.lekin diwali ke mauke par 1 hafte ki chutti mili to is dauraan mujhe pehli baar itne samay ke liye ghar me rehne ka mauka mila.gharwalon ne meri kisi mehmaan ki tarah khatirdari ki.khoob shahi khane or pakwaan parose gaye.doosre din mein ghar se bahar nikla apne doston se milne ke liye.raah me jo bhi mujhe janta tha usne mujhe engineer babu kehkar sambodhit kiya.mera mann khud ke bare mein yeh sab sunkar pehle pahal to khush hua lekin baad mein unme se zyadatar logon ke kehne ke andaaz se mere mann mein kuch toot sa gaya.wo kya hai ki ab itni to samajh mujhme aa hi gayi thi ki pranshansneeye lehje ke peeche ke kataaksh ko mein samajh sakta tha.or 2-3 logon ki baton se mujhe andaza hua ki wo jaise mazaak si bana rahe the mujhe baat baat par engineer kehkar.
 
Ghar aakar mene is baat par khoob hungama kiya ki kaise mujhe samaaj ke log “engineer engineer” kehkar mazak ka paatra bana rahe hain.ispar meri mummy ne mujhe samjhane ki koshish ki.

“beta,kyun mann ko lagata hai inko baton ko??tu to bas mann lagakar padhai par dhyan de...or jab kal tu sachmuch ka engineer banega to sabki bolti band ho jaayegi.phir aaj to mazaak me keh rahe hain jabki kal wo dil se prashansa karenge”

Maa ki baat meri samajh mein aa gayi lekin mann par ek bojh sa badh gaya.kabhi sochta ki agar mein exam clear naa kar paya to kya hoga??tab to sab mooh par mazaak banayenge jabki abhi to stithi alag hai..or shayad yahi se meri padhai par asar aana shuru hua.. 

sabkuch apni raftaar se chalta raha par kuch tha jo ki samay ke saath mujhme badlaav kar raha tha.ek soch jisne meri zindagi badal di thi.diwali ki chuttiyon se aaye hue 2 maheene hone ko aaye the or mujhe yeh lagne laga tha ki mein iit clear nahi kar sakta.har insaan ke andar khud ko judge karne ki kshamta hoti hai or usi ne mujhe bataya tha ki mujhme wo kabiliyat nahi ki mein yeh exam clear kar paun.or phir dheere dheere mera mann padhai se uchaat hone laga.jab aapko kisi kaam ke beech me ahsaas hota hai hai ki wo kaam aap ke bas ke bahar hai to aapko lagta hai ki wo kaam shuru hi nahi karna chahiye tha.mujhe bhi aisa hi lagne laga tha.shayad mene samaaj ki apekshaaon ko khud par itna haavi kar liya tha ki meri soch ki disha hi badal gayi.shayad mein unki baton ko galat disha me le gaya tha ya phir mein wakai iitian banne kabil nahi tha.kher,wajah kuch bhi ho par us saal mein exam clear nahi kar paaya.khoob ho halla hua.pita g 2-3 din beemar bhi rahe or 10 din baad mujhse bole bhi to kya bole.“koi baat nahi beta.tu tension mat le.har kisi ka to pehle attempt me number nahi aata na?kaiyon ko to 3-3 saal ho jate hain tayyari karte karte.”pita g thoda ruke or mere sar par hath rakhte hue bole “1 try or kar beta”

Or phir,saal guzarte rahe or mein try karta raha.lekin mera iit me number nahi aana tha to nahi aaya.is beech mene ek kaam zaroor kiya-sarkari college se bsc poori kar li or shayad usi degree ki wajah se mujhe ek jagah private company mein naukri bhi mil gayi.lekin mein khush nahi tha kyunki mere pita g khush nahi the.unko khush karne ke liye mujhe kisi mukaam par pahuchna tha or jaldi pahuchna tha isi udhedbun me mene sarkaari naukriyon ki tayyari karne ka nirnay liya lekin is baar mene gharwalon ko kuch nahi bataya.jab sab gharwale so jate to me padhne beth jata.din me job pe jata or raat ko padhai karta.ab isko meri kismat samjho ya phir samaaaj or gharwalon ki apeksha ka naa hona samjho,mera pehle hi saal ek pratishthit bank mein PO ki post ke liye selection ho gaya.mene pita g ko bataya to wo bahut khush hue or unhone mujhe poore 6 saal baad gale se lagaya.pichli baar tab lagaya tha jab 12wi pass ki thi.pita g ne mere haath par 500 note rakhte hue kaha “ja or acchhi si mithai lekar sabse pehle 1 dabba Sharma g ko dekar aa.......bahut tareef karte hain teri wo.tujhe to pata hi hai na.or aaaj unko pata chalega to kitna khush honge...ja jaldi ja”Pita g or Sharma g ki dosti bhi ajeeb thi.matlab ki apne ghar mein kisi ka muh meetha ho ya na ho par Sharma g key yaha mithai sabse pehle jani chahiey.

mithai ka dibba lekar me Sharma g key yaha enter hua to unki bethak se aati awaz par bahar hi ruk gaya kyunki unhone shayad mera hi naam liya tha.

“are nikamma hai bittu.or pagal hai uska baap jo sapno ki duniya me jee raha tha..ab dekho jis bête ko engineer banane chale the wo aajkal 5-7 hazaar ki naukriyon mein dhakke kha raha hai.mene to kaha tha usse..................”uske baad mein waha nahi ruka or ghar akar pita g ko mithai ka dibba dekar keh diya ki khud de dena Sharma g ko.wo shayad khushi me itne magan the ki mera chehraa nahi padh paye.lekin aaj mujhe yeh pata chal gaya tha ki yeh duniya or samaaj kamyaab insaanon ke liye acchha hai or nakaam logon ke liye bura.pita g ne mujhe meri nakaami par kyu gale nahi lagaya?kyu mujhe yeh nahi samjhaya ki jis tarah sukh or dukh 1 hi sikke ke 2 pehlu hote hain usi tarah nakami or kamyabii bhi 1 hi sikke ke 2 pehlu hain.aaj agar nakami hai to kal kamyabi bhi aayegi.sharma g ne bhi to is beech mujhe kuch nahi kaha.
kher,ab to mein kaamyaab ho hi gaya hoon,bhale hi engineer ke jitna nahi par usse bahut zyada neeche bhi nahi.ab pita g bhi khush hain or samaaj bhi khush hai kyunki pita g hi samaaj hai,me bhi samaaj hoon or haan,Sharma g bhi samaaj hain.

Sharma g hamare aangan mein pita g ke saath bethe hue the.chai or ciigrette ka daur chal raha tha.mujhe aata dekhkar khud ko yeh kehne se naa ro sake“are mein na kehta tha tujhse......ek din yeh ladka tera naam roshan karega or dekh aaj kar hi diya”

Ratings - 60/100

Judge's Comment -
"The lives of unemployed and underemployed people, as well as of their families are miserable. This is a serious issue in India. Last line "are mein na kehta tha tujhse......ek din yeh ladka tera naam roshan karega or dekh aaj kar hi diya” lol I hate two faced people like Sharma ji in the story everyone have such relatives or neighbors. Idea is good but execution needs improvement it was predictable with no sudden twists. A government job in banking sector is perfect for creative people. I wish you all the best and hope all your dreams come true."

*) - Garv hai hme is desh pe

(#50 Divyansh Gupta) 





Ek din BHU me mere friend imtiyaj aur mai BHU ke varshik programm ki baat kr rhe the ki tbhi, Imtiyaj-yaar divyansh ye tum log kya bhart bhart lgaye rhte ho aakhir ye bhart ne diya kya hai,jo kr rha hai wo kha ji rha hai,bhart use thodi na jinda rkhkhe huye hai uske mehnt ne use jinda rkhkhe huaa hai to bolo bhart kaise mhan ho gya,bhart bhukho nango ka desh hai mahan nhi hai. Uski bato ka jwab de kr mai baat ko whi nhi khtm krna chahta tha,mai bdlaw chahta tha hr vs shaks ke soch me bdlaw jo aesa sochta hai. Kuchh din baad Aaj bhu me varshik program ka din tha. Manch se aawaj aayi Ashish kumar sahu(Divyansh) aa rhe hai hmare beech,aap log inhe suniye. Mujhe wo manchmil chuka tha jaha se mai apni baat ko us insan ko smjha skta tha jo bhart ke bare me aesi soch rkhta hai.

Maine bolna start kiya. Divyansh-kya sansar me koi aesa desh hai jise dada nana kaka ka drja mila hai
nhi nalekin hmare is bhart ko maa ka drja mila hai aur ye maa shabd pure brmand ka sbse pvitr shbd hai.
Dosto desh seva krna koi ehsan nhi hota, ye to ek jajba ek janoon hota hai kyoki ye mt socho ki desh ne tumhare liye kya kiya, balki ye socho ki tumne desh ke liye kya kiya hai. Garv hai hme us desh pe jis desh ka naam hinustaan hai 2 ram,krishn khele hai is bhumi pe ye desh itna mahan hai, hmari bhasha hmari sanskriti hi to hmari pahechan hai 2 hmare desh ke diggjo ko dekhkar dusman mulk presan hai. Trh trh ki chale chlta desh me aatnkwad failata hai 2 pr hmare desh ki ekta ko wo bhang nhi kr pata hai. Krishna sudama ki dosti dekhkr hmne ye bhi jana hai, mitrta kro ek se hi pr ise dil se nibhana hai. Hr desh ki bhasha se hi us desh ko jana jata hai, pr hr hindustani aaj to aagl bhasha ke hi gudn gata hai. 


Kal tk the hm angrejo ke gulam aaj angreji ke gulam hai, itna sb hote huye bhi kahte hai mera bhart mahan hai. Hr bhasha hoti hai mahan hme ye bhi janna chahiye, pr apni bhasha ko chhodkr kisi aur ke pichhe nhi bhagna chahiye. Hmari bhash to hai maa kya maa ko chhod denge hm, kisi gair ke khatir isse rista tod denge hm. BHU ka svtantrta bhavn taliyo ke gdgdahat se gunj utha. Achank meri nigah imtiyaj pe pdi,wo muskura rha tha uski wo hlki si muskan ne mere sare swalo ke jwab de diya Mai smjh gya ki aesa usne kyu bola tha.
Mai manch se niche aa gya pr mere dimank me past ki ek ek baat yaad aane lgi, drsl ye mera bhu me 3rd year tha ya last year tha aur mai lgatar do sal se us manch ko pana chahta tha ya kaho us manch ko pana mera spna bn gya tha,aur ye baat imtiyaj janta tha isliye usne mnovaigyanik dhang se mere us sanwednshil mshtisk pe prhar kiya, wo janta tha ki mai bhart ke khilaf kuch sun nhi skta aur usne mere isi kmjori ko meri takt bnayi. Bhle hi maine us manch ko pa liya tha aur mai bhu ka hero bn gya tha lekin imtiyaj mere liye super hero bn gya tha. Pr ha meri wo rchna hr vs insan ke liye tha jo bhart ke liye nkratmk soch rkhta hai aur mai apne mehnt ko us din safl manunga jb meri rchna ko pdhkr ya sunkr kisi ek insan ki bhart ke prti nkratmk soch skratmk soch me privrtit ho jaye.


Chahe wo hindu ho ya muslman. Bhart ke hindu bhayiyo ke mn me ek maa ki bhawna hai jaise ek maa ke bete ko hlka sa chot lgne pr ek maa tdp uthti hai usi trh hindustan ke hindu bhi jb bhart maa ki baat aati hai to wo apne aap ko aage aane se nhi rok pata lekin muslman bhai ek pita ki bhawna rkhta hai use bhi apne putr se pyar hota hai pr wo use khulkar dikha nhi pta,pr pyar wo bhi krta hai.


Isliye mai apne sbhi bhayiyo se yhi kahunga ki inpe sak na kre, jaha sk risto ko khokhla bnati hai whi vishwas risto ko aur mjbut bnati hai. Hme apne in bhayiyo ko vishvas dilana hoga ki ye bhi usi bhart ma ke putr hai taki jb bhi maa ke ijjt ki baat aaye ye aapsi dvesh ko bhulkr bhart maa ki rchha me aage aaye .


Rating - 31/100

Judge's Comment - "Efforts are important, tbh a lot of practice needed."

Result - Mehfooz Ali wins the Match and moves to final 32 round. Divyansh Gupta is assigned to Parallel League where he will get one more chance to prove his mettle.

2 comments:

  1. Congratulation to sheht.... ahmm mehfoz bhai :)

    ReplyDelete
  2. Mohit Bhai 33 number to de dete.kam se kam Ladka pass to ho jata������

    ReplyDelete